Ay Alamdaar-e-wafa
- Tejani Brothers (2008)
Ay Alamdaar-e-wafa
(Ay alamdare wafa) x6(Ay shabihe murtaza) x2 Ay duaa-e-sayyeda(Ay alamdare wafa) x4
(Ghazi jari diler hai, shere khuda ka sher hai) x2Abbas aysaa naam hai jo ke baghayre zer hai
Babe shehre ilm ko tohfa-e-rabbe awla
(Ay alamdare wafa) x4
(Rag rag hai khune murtaza, shehre wafa ka hai khuda) x2Tu aysa shah sawar hai zehre qadam hai alqama
Warise tegh o alam maniye harfe wafa
(Ay alamdare wafa) x4
(Akse abu turab bhi chashme ali ka khwab bhi) x2Apni misal aap hay aapna jawab khud bhi
Khalq ho payaa na phir aysa koyi dusra
(Ay alamdare wafa) x4
(But shikan ki zindagi hasile sad bandagi) x2Ye qamar hashim ka hai roshni hi roshni
Surajo(n) me chand hai, ye hai uska martaba
(Ay alamdare wafa) x4
(Karbobala ka hai ali ye wali ibne wali) x2Abru jisne rakhi tashnagi me pyaas ki
Zamzamo qausar ne bhi he jise sajda kiya
(Ay alamdare wafa) x4
(Jang ki khahish liye khud se jo larta raha) x2Nehr bhar kar mashk me bawafa pyasa raha
Katt gaye bazu magar nehr pe qabza kiya
(Ay alamdare wafa) x4
(Jab zamin par zeen se hoke bebazu gira) x2Hazrate shabbir ko ehtaraman di sadaa
Juk gayi sheh ki kamar roke dete the sadaa
(Ay alamdare wafa) x4
(Khoo(n) bhara lekar alam jab hussain ibne ali) x2Aye khayma gah me bolti thi khamoshi
Zainabo kulsum ne kehke ye matam kiya
(Ay alamdare wafa) x4
(Nohaye abbas hai chal adab se ay qalam) x2Kanpte he is jari ke naam se "rehan" hum
Hoke be bazu bhi jo haath thaame hai mera
(Ay alamdare wafa) x6