Awaz to de akbar

- Mir Hasan Mir (2026)



Ayna Ali Akbar..(2)
Ayna Ali Akbar..(2)
Awaz to de akbar..(2)

Kadiyal jawa'n ki laash par,
kehta raha rokar padar
Awaz to de akbar..(3)

Girta hua, uth-ta hua aa to gaya hu mai magar
kam hogaya noor e nazar
Awaz to de akbar..(2)

1. Tu naujawa'n hai akbar, aur hai zaeef baba
tu naujawa'n hai akbar..
kaise uthau mayyat mujhko to bata de itna
jaana hai ab, khayyam tak
kaise karu mai yeh safar
kham hogayi meri kamar

Awaz to de akbar..(3)

2. Aaayi sadaa jidhar se mai us taraf badhunga
aayi sadaa jidhar se.. 
awaaz sunte sunte tujhe rann mein dhundh hi lunga
tu hai jidhar pyaare mere
dheere se yeh kehte hue
baba idhar, baba idhar

Awaz to de akbar..(3)

3. Sughra ke naamwar ko khat ka jawaab kya du
sughra ke naamwar ko
woh muntazir hai usko barchi ka haal suna du
raste se ab nazre hataa
maara gaya bhai tera
kya bhejdu usko khabar?

Awaz to de akbar..(3)

4. Mushkil kusha ka beta mushkil mein ghir gaya hai
mushkil kusha ka beta..
aankho'n mein hai andhera chehra bhi nahi dikhta hai
sunkar mujhe teri sadaa
kuch hausla mil jaega
ehsan kar shabbir par

Awaz to de akbar..(3)

5. Dohra raha hu mai bhi, baba ka naam beta
dohra raha hu mai bhi..
mushkil ki is ghadi mein tu bi le naam Ali ka
lene ko khud aulaad ko
akbar teri imdaad ko
aa jaenge mere padar

Awaz to de akbar..(3)

6. Teri sadaa ko sunkar woh phir se jee uthegi
teri sadaa ko sunkar..
hamsheer teri warna shayad nahi jee payengi
seene ki barchi thaam ke
sughra ko uske naam se
ek baar himmat jodkar

Awaz to de akbar..(3)

7. Barchi se bas kaleja tera nahi chidaa hai
barchi se bas kaleja..
maqtal mein Fatima ne dil apna thaam liya hai
bhai Hasan nana Nabi, baba Ali, Dadi teri
maujood hai sab hi idhar

Awaz to de akbar..(3)

8. Haye, akbar janab-e-Akbar khamosh hogaye the
akbar janab-e-Akbar..
Shabbir sar jhukaye laashe ke paas khade the
Zainab kabhi, Laila kabhi
behne kabhi, kabhi naambar
kehta raha yeh saara ghar

Awaz to de akbar..(3)
Ayna Ali Akbar..(2)