Haye mera sajjad

- Nadeem Sarwar (2026)



Sajjad Sajjad..(4)
Haye mera Sajjad..(4)
Aagaya bazaar maula mera
Haye mera Sajjad..(2)

Saath hai bibiya'n, kya kare natawa'n
Haye mera Sajjad..(2)

1. Zanjeero'n mein jakda maula
saath hai saara qaidi kunba
jisne dekha woh bhi roya..(2)
roya khoo'n hai sare bazaar maula mera
Haye mera Sajjad..(2)
Aagaya bazaar maula mera
Haye mera Sajjad..(2)
Sayyed e Sajjad..(2)

2. Zalim no ki des paraya
na Akbar na Alma wala
rat ankhiya jo ronda aaya..(2)
aaya mastura sang darbaar maula mera
Haye mera Sajjad..(2)
Saath hai bibiya'n, kya kare natawa'n
Haye mera Sajjad..(2)

3. Jab woh qaidi kunba aaya
shaam sheher ko haste dekha
bazari tha majma saara..(2)
saara manzar na bhula ghumkhaar maula mera
Haye mera Sajjad..(2)
Aagaya bazaar maula mera
Haye mera Sajjad..(2)
Sayyed e Sajjad..(2)

4. Shaam da qaidi ghairata wala
Baqir da wo zakhmi baba
sang Zainab de turda aaya..(2)
aaya parde ta pursedar maula mera
Haye mera Sajjad..(2)
Saath hai bibiya'n, kya kare natawa'n
Haye mera Sajjad..(2)

5. Zakhmi zakhmi mera maula
dil hai jiska paara paara
taziyane khata aaya..(2)
aaya sehta sitam kai baar maula mera
Haye mera Sajjad..(2)
Aagaya bazaar maula mera
Haye mera Sajjad..(2)

Saath hai bibiya'n, kya kare natawa'n
Haye mera Sajjad..(2)

Sajjad Sajjad..(3)