Jaffare Sadiq
- Tejani Brothers (2010)
Jaffare Sadiq Allah, Ighfirli khataee wa dhunoobeeAllah, Ultufbee wastoor li ayoobeeAllah, Wa taqabal miman yashfaooli Allah, Ighfirli khataee wa dhunoobeeAllah, Ultufbee wastoor li ayoobeeAllah, Wa taqabal miman yashfaooli (Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2 1. Baba tumhaare baqir, Madar hai umm-e-farwahRehmat mei sab se kasrat, Sarkaar mei ho aalaTum shaam ki siyaahi, ko payrahan banaakarHar raat mufliso(n) ko, haatho(n) se hai khilaya (Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2 2. Tumhaari aur nabi ki, ik roz hai wiladatAur raah-e-adl-o-haq mei, thi aapki shahadatAhmed ki ruh teri, ruh se juri huwi haiSaare malak pe waajib, hai aapki itaaat (Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2 3. Godi hai jinki khaali, awlaad unhe ataa karMaqrooz momino ka, jo karz ho ada karHai be khata jo qaydi, dede unhe bashaaratKarte hai ham tawassul, haatho(n) ko ab utha kar (Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2 4. Bechayn ye jigar hai, Ham tumse jo juda haiYasrab ko tum bulaalo, lab pe yahi dua haiAake kare ziyarat, aur ashk ham bahaayeTere liye ay maula, ye dil tarap raha hai (Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2 5. Tumko sata raha tha, ashur ka wo manzarik behn ne jo dekha, ik bhayi zeyr-e-khanjarPyaara sa uska chehra, dekha tha khun mei tarRokar wo gir pari jab, tan se juda huwa sar (Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2 6. Angur ka gahal jab, mansur tumko bhejaTab sakht zehr usne, angur mei tha daalaKhaakar laraz raha tha, Maula badan tumharaGirya kiya uthaakar, Kazim tumhaara lasha (Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2 7. Baade teri shahadat, duniya mei aaj tak bhiZahir tera asar hai, roshan khuda ke raah kiDam se tumhaare qayam, iman jaafari kaShiyyo(n) ka fakhr tum ho, bole na kyu(n) Tejani (Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2