Allah jaane kaha
- Nadeem Sarwar (2005)
Allah jaane kaha
Jab shaam ke zindaan mei huwi, shaam haram ko. Ik aan na rahat ki na araam haram ko. Har baar tapakta tha lahu, ashk rawaan se (Zindaan larazta tha) x2 Sakina ki fugha se
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Baba kitni rate guzar gayi baba
Allah jaane, kaha ho ay baba
(Chote se sin mei qaydi zindaan hogayi) x3
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Din mei jo mere dard hai khaliq ke hai ayaa(n)Kisko kahu(n) mei baap mere, baap hai kahaa(n)
Tum bekafan mei besaro samaan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Kya kya na khalq karne hakarat se behgayiMei bekasi se dekhke muh sabka rehgayi
Kurta phata huwa meri pehchaan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Dar aah ki to shimr pukara khamosh hoAur chup huwi to be padari ne kaha ke ro
In afato mei girse pareshaan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Be jurm kaan zakhmi huwe aur tamache khaayeJo chaahe mujh falak ki sataayi ko phir sataaye
Shehzaadi-e-Hussain ki ye shaan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Sadke gayi bataawo kaha hai mere padarAaye padar to jaaye Sakina bhi apne ghar
Kyu aise zalimo(n) ki mei mehman hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Poti hu(n) uski jo ke hai kohnain ka ameerJisne hazaro qayd se churwaaye diyey aseer
Ummat nabi ki dekhke anjaan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Jab sarpe shah-e-deen ke Sakina ne phiri nazarChillaayi roke haye gazab mar gaye padar
Baba ke sar ko dekhke hayraan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Mu rakh ke mu pe shaah ko royi jo dil fighaarSadma huwa nikaalne lagi tan se jaan-e-waar
Nanhi si jaan jaan se bejaan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Bas ay "Anees" bazm mei hai giryaa-o-bukaSadiyo(n) talak rulaayenga sabko ye marsiya
Bali Sakina qarb ka unhwaan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Baba kitni rate guzar gayi baba
Allah jaane, kaha ho ay baba