Teri ummat ne rulaya baba
- Zulfiqar Ali (2025)
fatema ko teri ummat ne rulaya baba
haye ab ho gaya dushman ye zamana baba
yun kiya ajre resalta ko ada ummat ne
teri beti ko musalmano ne mara baba
daro diwar ke thi beech ye zahara teri
tab teri beti ko fizza ne bachaya baba
Qatl mohsin hua aur pasliya'n tooti meri
jalte dar yun mere pahlo pe giraya baba
ati hai sharm mujhe bachchon se apne ghar men
samne bachchon ke mara hai tamacha baba
Fajr ke bad jahan karte the ap ake salam
Kalma goyon ne usi dar ko jalaya baba
Sans lene men bhi hoti rahi takleef mujhe
fir bhi har dard ali se hai chipaya baba
dahhine haath se tasbih nahin padh sakti
Hath pahlu se mera ba ni uthta baba
Iske amaal pa mahshar men karam kar dena
Nauha likhta h ye rizwan hamara baba
zulfiqar aur ye rizwan hain mahwe giriya
padhte rahte hain mere dard ka nauha baba