Abbas mujhe karbala dikhado

- Meesum Abbas (2026)



Karbala, Karbala, Karbala, Karbala

 

Is gham ne azadaro bohat mujh ko rulaya

Mujh ko rulaya, mujh ko rulaya

Is saal bhi zawaron mein jab naam na aaya

Naam na aaya, naam na aaya

Dil toot gaya...

Dil toot gaya Karbala na jaane ke gham se

Ro ro ke kaha main ne lipat kar is alam se

Ek baar mujhe bhi tou sada do

Ek baar mujhe bhi tou sada do

 

Tum jaante ho koi nahi mera sahara

Abbas kate hathon se tum kar do ishara

Jab yaad Hussain aate hain rota hai mera dil

Mar jaun ga Mola se mila do na khudara

Kitna bechain hai dil, Karbala hai manzil

Jald aasan karo, Mola meri mushkil

Kab aaun ga bas itna bata do

Kab aaun ga bas itna bata do

 

Milta hai koi jab safar-e-ishq se aa kar

Rota hoon bohat dair galay us ko laga kar

Main bhi tou azadar hoon kya dil nahi mera

Zawaron ki khidmat main karun paaon daba kar

Wahan paidal main chalun, saare maukab dekhun

Wa Hussain-a keh kar, khaak chehre pe malun

Ek baar mashi mujh ko kara do

 

Paaon thay kahin jism kahin haath kahin thay

Roza hai jahan khoon mein tar aap wahin thay

Teer aankh mein tha chehra bhi zakhmo se bhara tha

Jab zeen se giray aap ke bazoo hi nahi thay

Pursa dena hai mujhe, aap ko ro ro ke

Jahan dono bazoo, khaak par kat ke giray

Dono kaf-e-Abbas dikha do

 

Seenay se lipat jata hai jaise koi bacha

Aise hai mujhe Shah ke rozay se lipatna

Mass kar ke sabhi apna kafan laatay hain lekin

Main un ke liye le ke kafan jaun ga Mola

Dil tadapta hai mera, aaj bhi ae Mola

Be-kafan ghurbat mein, hai ghareeb-e-Zahra

Mujh ko mere Mola se mila do

 

Jab pehli nazar aap ke gunbad pe paray gi

Gir jaun ga sajday mein dua mangun ga Ghazi

Har saal yahan aata rahun aap se milnay

Sun lena Alamdar tum aawaz yeh dil ki

Tum hi tou suntay ho, haan karam kartay ho

Hum azadaron ke, dil mein tum rehtay ho

Tum mojza ab koi dikha do

Tum mojza ab koi dikha do

 

Zawaron se aati hai mujhe aap ki khushboo

Aankhon se nikal aatay hain Mola mere aansoo

Hasrat se unhain dekhta rehta hoon main ro kar

Us waqt nahi rehta hai dil par mere qaboo

Dil yeh kehta hai mera, ae Shahenshah-e-Wafa

Karbala mein mera, kab bulawa hoga

Ab jald koi raah bana do

 

Abbas jahan par hui Akbar ki shahadat

Kya mere muqaddar mein nahi hai woh ziyarat

Akbar ke kalejay pe jahan tooti thi barchi

Tooti thi wahin dil para-e-Zahra pe qayamat

Dekh lun main ja kar, woh maqaam-e-Akbar

Shah pohanchay thay jahan, khaak par gir gir kar

Akbar se mohabbat ka sila do

 

Dil kitna pareshan hai Abbas se bolo

Woh Baab-e-Hawaiej hain tum umeed na choro

Aatay hain woh khud Shah ke zawaron ko lenay

Ek baar unhain baali Sakina ki qasam do

Jald woh aayenge, Shah bulwayenge

Aur tumhein Karb-o-Bala, saath le jayenge

Ae Meesam o Zeeshan sada do