Hussain ka akbar

- Shozab Abbas (2019)



Haye jawan Akbar jawan

Haye jawan Akbar jawan

*Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*

Sina kaleje pa kha ker hussain ka Akbar

Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )

Madad ke waatse Kisko bulayie Koun aaye

Sabhi to soote hain Khoo'n mein nahaeye Koun aaye

Ye sadma Leta hai dil per (2)

Hussain Ka Akbar a.s

*Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*

Hussain jisko Md ki tarha chahte thai

Usse tadaapte huwe dekh payenge Kaise

Ye sadma Leta hai dil per (2)

Hussain Ka Akbar as

*Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*

Jisse madina tarsata tha dekhne ke liye

Zameene garm pa reh reh ke eydiya'n ragde

Wo hum shabeehe payamber (2)

Hussain Ka Akbar a.s

*Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*

Her eik zaba'n pa tha akbar ke husn ka charcha

Kisi ka beta kahan itna khoobsurat tha

Haseen Jitna tha dilbar (2)

Hussain Ka Akbar a.s

*Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*

Jigar ka dard nikala hussain ne Kaise

Na jane khud ko sambhala hussain ne Kaise

Tadap ke margaya akbar (2)

Hussain Ka Akbar a.s

*Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*

Nazar ke saamne Sughra bahen ki hai tasveer

Sitam ne daaldi Paoo'n

Mein mout ki zanjeer

Madina jaye'n bhi kyunker (2)

Hussain Ka Akbar a.s

*Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*

Hawa mein hato'n ko lehra rahe hai shah e zaman

Zameen e karbobala per ujad gaya hai chaman

Shaheed ho gaya Akbar (2)

Hussain Ka Akbar a.s

*Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*

Kamayie lut gayie Jangal mein Umme laila ki

Khili na sehre ki kaliya'n na ho saki shadi

Huwa hai dee'n pa nichahwar (2)

Hussain Ka Akbar a.s

*Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*

Bayan kaise ho Asif shahdate Akbar

Ye goonjti thi ey Shozab sadaye'n reh reh ker

Ke margaya Ali akbar (2)

Hussain Ka Akbar a.s

*Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*