Maqtal Main Shabbir (As) Pukare
- Nadeem Abbas (2026)
Maqtal mein Shabbir pukare haye amaa jaan
Sookha gala katne wala hai haye amaa jaan
(1) Laakhon maarne wale hain maa'n, laal tumhara tanha hai
Haye mera Ghazi bhi to bazu kata kar soya hai
Teer chalata hai koi to neza koi marta hai
Amaa badan zakhmon se mera dekho zakhmi saara hai
Zakhmi badan mera dukhta hai haye amaa jaan
(2) Amaa sar kat jayega jab Shaam-e-Ghareeban aayegi
Haye Sakina meri bachi amaa bahut ghabrayegi
Dasht mein Baba Baba keh kar royegi chilayegi
Dekh ke be-sar laasha mera haye ghash kha jayegi
Soch ke uska dil phatta hai haye amaa jaan
(3) Amaa teri ham-soorat jis ko tha watan mein chhor aaya
Le aane ka Akbar jis se kar ke aaya tha waada
Khwab tha dukhiya ka bhai ke sar pe sajayegi sehra
Kaise bataun us ko haye Akbar ab na aayega
Dekho khat uska aaya hai haye amaa jaan
(4) Subah se laashon par laashe maine uthaye hain madar
Chun aaya Qasim ke tukre le aaya nanha Asghar
Amaa Aun-o-Muhammad bhi Zainab ne kiye qurbaan mujh par
Ji kar kya main karunga amaa chhor gaye hain sab dilbar
Ab to ye jeena hi saza hai haye amaa jaan
(5) Amaa khanjar pherega jab zaalim meri gardan par
Phela dena mere aage aa kar ye apni chadar
Teele pe bechain khari hai dekho wo meri khwahar
Mar jayegi gar dekhegi qatl ka meri wo manzar
Dil Zainab ka doob raha hai haye amaa jaan
(6) Sar jo kate mera amaa tum aankhon ko band kar lena
Haye tum se manzar wo bardasht nahin ho payega
Dard ki shiddat mein maa tujh ko laal pukarega tera
Lekin meri gardan par tum haath na apna rakh dena
Haath tumhara toota hua hai haye amaa jaan
(7) Haye Farishta aur Nadeem, kata jab pyaase Shah ka sar
Haye amaa haye amaa kehta tha har zarbat par
Mat maro is laal ko mere thi ye Zahra noha-gar
Rehm na zaalim ne khaya haye teen dinon ke pyaase par
Ab tak dasht mein goonj raha hai haye amaa jaan