Khoon Me Dooba Jalti Zameen Par
- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2026)
Khoon me dooba, jalti zameen par
Lashaa-e-Sarwar pada hua hai
Dubta suraj, charkhe bareen par
Jaam lahu ka bana hua hai
1. Farke Shahe Deen kat gaya ran me
Kaisa hua andher ye ban me
Mehre Imamat aaya gahan me
Hashr kaha ab ruka hua hai
2. Zainab-e-Muztar ka tha ye nauha
Kaisa din kismat ne dikhaya
Aaha jo kal tak bhara hua tha
Aaj wahi ghar luta hua hai
3. Roe na kyu kar Baali Sakina
Khaaye tamache chin gaye gauhar
Suje hue rukhsaaaro pe uske
Khoon abhi tak jama hua hai
4. Koi nahi ye Shimr se kehta
Baali Sakina ko na de izza
Uth gaya sar se baap ka saaya
Uska bohot dil dukha hua hai
Dhal gaya sooraj shamma Jali
Nanha mera asghar kahan gaya re
Banu pukari kook jali
Nanha mera asghar kahan gaya re
Raat andheri sunsan ban
Dhoondhun kahan tujhe aye gulbadan
Ro ro pukari maa dil jali
Nanha mera asghar kahan gaya re
5. Rann ko gaya tha jo shesh maah
Teer gale par usne bhi khaaya
Ek dukhiyari maa ka kaleja
Naavad se gham se chida hua hai
6. Rehem kisi ko us par na aaya
Cheen ke bistar le gaye aada
Haai mera beemar bhatija
Ghash me zameen par pada hua hai
7. Yazidiyat ko jadh se ukhaada
Deene Nabi ko isne bachaya
Ta qayamat Sultaan-e-Shahida
Zibhaa hokar bhi fatha hua hai