MAULA HAQ IMAM
- Tejani Brothers (2012)
MAULA HAQ IMAM Hayya ala khayril amal, Hayya ala khayril amalYa Hussain, ya Hussain, ya hussain (Maula haq imam ya hassan ya hussain) x2Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain Teero(n) pe tha lasha teraAur jism tha khu(n) se bharaJab aya khali zuljanahPeyro(n) se lipti bibiyaa(n) (Maula haq imam ya hassan ya hussain) x2Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain Qasim jawaa(n) maara gayaPamaal bhi laasha huwaSheh ne kiye tukre jamaaRoti rahi, qasim ki maa(n) (Maula haq imam ya hassan ya hussain) x2Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain Abbas ke bazu katePaani baha wo mashk seGore ke zeen se jab gireThi ye sakina ki fughan (Maula haq imam ya hassan ya hussain) x2Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain Sughra ne dekha khwaab meiNazro(n) mei ik partaab meiAsghar sawaal-e-aab meiAur khu(n) mei duba sarebaa(n) (Maula haq imam ya hassan ya hussain) x2Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya HussainNanna gala asghar ka thaAur teer bhi uspe chalaHaatho(n) mei sheh ke khu(n) bahaRote rahe teero kamaa(n) (Maula haq imam ya hassan ya hussain) x2Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain Shame ghariban ki ghariNeze se sab chadar chinniAur aag khaymon me lagiKhamosh tha arz-o-samaa(n) (Maula haq imam ya hassan ya hussain) x2Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain Abid ka tha ye imtihaa(n)Pao(n) mei jakde beriyaa(n)Hatho(n) mei bandhe rassiyaa(n)Aur sheh ka sar nok-e-sinaa(n) Sajjad ka wo imtehan, sajjad ka wo imtehan Wo sham ka darbaar thaZainab khari thi beridaZalim ne ye haske kahaAb hai tera ghazi kahan (Maula haq imam ya hassan ya hussain) x2Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain Ab hai Tejani ki sadaAy matami sunlo zaraHai bibi zahra ki duaHar matami aur nawhakhuan (Maula haq imam ya hassan ya hussain) x2Ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain, ya Hussain The zakhm wo tan pe hazaarTha sine par, zalim sawaarKhanjar chalaya baar baarAur halq se, tha khu(n) rawaa(n)