Suno Faryaad Mohammad

- Sajjad Merchant (2020-21)



Mohammad Haaye Mohammad Suno Faryaad Mohammad

Jallad Aasteen Chadhata Hua Chala
Khanjar Ko Ungliyo Pe Firaata Hua Chala
Majme Ko Raaste Se Hataata Hua Chala
Arkaane Deene Haq Ko Hilaata Hua Chala
Ab Kya Bataaoo Paao Rakha Kis Makam Par
Phat-Ta Hai Sina Aale Shahe Tashnakam Par

Roohe Rasool Kehti Hai Jallad Rehem Kar
Ye Mera Noore Ain Hai Ye Hai Mera Pisar
Ya Sina Mera Sina Hai Ye Sar Hai Mera Sar
Ye Dil Hai Mera Dil Ye Jigar Hai Mera Jigar
Tu Baitha Hai Husain Dilawar Ke Sine Par
Ye Baythta Tha Tere Payambar Ke Sine Par

Zehra Pukaari Arshe Ilaahi Hilaanongi
Ay Shimr Tujhpe Aah Gi Bijli Giraaoongi
Uska Na Maare Ga To Dua Deti Jaaoongi
Mehshar Me Hur Se Pehle Tujhe Bakhshwaaoongi
Iss Nauhe Par Bhi Arsh Ko Ussne Hilaa Diya
Khanjar Ko Bosagaahe Nabi Se Mila Diya

Gul pad gaya Hussain ne sar ko fida kiya
Aada ne jashne fatha ka samaan bapa kiya
Rukh shimr ne sue harame mustafa kiya
Aye shimr tune kaisi qayamat bapa kiya
Parda uthaye dekhti thi khwahare Hussain
Naize pe uske aage chadhaya sare Hussain 

Zainab ne haye bhai kaha aur nikal padi
Chillaaee Fizza Haae Khuda Aur Nikal Padi
Bano Ne Sar Se fenki Rida Aur Nikal Padi
Kubra Pukaari Wa Abbasa Aur Nikal Padi
Aage to behawasa haram hote jaate the
Peeche Pukaarte Hue Bachche Bhi Aate the