Tu be kafan hai Baba

- Kazmi Brothers (2026)



Haaye Sakina haaye sakina - 2

Tu be kafan hai Baba aur main hoon be rida - 2
Neze pe sar tumhara - 2 rasan mein mera gala

Ruk jaane pe lagaye (durre mujhe laeen ne) - 2
Chalti hoon to rasan se - 2 ghutta hai dam mera

Hum sar se paaon tak hain (zakhmon se choor dono) - 2
Patthar tumhein laga hai - 2  durra mujhe laga

Har ek qadam pe humko (maare gaye tamaanche) - 2
Zakhmi hain gaal mere - 2 zakhmi hai sar tera

Ungli tumhari kaati (angushtari ki khaatir) - 2
Do baaliyon ki khaatir - 2 maara mujhe gaya

Zaalim ne jab pukaara (mujh ko kaneez keh kar) - 2
Deti rahi main Baba - 2 rokar tumhein sada

Aisa safar na dekhein (ab koi baap beti) - 2
Kaanton pe main chali hoon - 2 neze pe tu chala

Neze se is liye bhi (girta hai sar chacha ka) - 2
Mujh ko gira gira ke - 2 hanste hain ashqiya

Khaak-e-Shifa bana hai (Baba kafan tumhara) - 2
Mera kafan bana hai - 2 kurta jala hua

Azlaan ye masaib (Sajjad ne sune the) - 2
Chaalis saal uski - 2 aankhon se khoon baha