Hussain ya Hussain
- Tejani Brothers (2010)
Hussain ya Hussain Ya laytanee kuntu maakum,Fa afooza maakumWa la farraqallahu baynanaWa salallahu alaykum (Hussain ya hussain ya hussain ya hussain) x2 1. Wo tera laqab hai sheh-e-mashraqayn, tera nana jaa(n) chalta quran haiWo madar tumhari hai khayrun-nisa, wo baba tera kulle imaan haiHai fakhr-e-rida haaye behna teri, hassan lawh-e-mehfuz ki jaan hai (Hussain ya hussain ya hussain ya hussain) x2 2. Ay shabbir ke matami sun zara, tu leta hai zahra ke dil ki duaYe khutbo(n) mei Zainab batati rahi, zamana karega humari azaaHai pursa ye zehra ke gham ke liye, hai zainab ki qurbani ka mojeza (Hussain ya hussain ya hussain ya hussain) x2 3. Hai uncha alam tere abbas ka, bicha hai tera farsh-e-gham har jagaBahate rahenge tere naam mei, lahu ka samandar habib-e-khudaHar ik ashk mei hai likha ya Hussain, Hai pehchaan momin ka matam tera (Hussain ya hussain ya hussain ya hussain) x2 4. Juloosei(n) nikalte hai(n) rasto(n) mei aur, Ye duniya ko dikhlaatei(n) hai(n) tera ghamKabhi aag par ho rahi hai aza, Ye khud dekhte hai julooso(n) mei ham,Zamana ye karta hai kohshish magar, Kabhi sar jhukaata nahi hai alam (Hussain ya hussain ya hussain ya hussain) x2 5. Hai afsos ke zikr-e-aal-e-nabi, bari karobaar ab jahaa(n) mei baniWo kaise kahe khud ko zakir tera, hai payso(n) pe jinki nigaahei(n) pariNahi maantei(n) aise zakir ko ham, jihei(n) kuch khabar bhi nahi shaa(n) teri (Hussain ya hussain ya hussain ya hussain) x2 6. Chalo sab azadaar karbobala, karenge wahaa(n) raat din ham azaWahi(n) sar zamee(n) pe jahaa(n) par hussain, ka be sar badan reyt par tha paraJaha par bujha sheh ka har ik diya, jaha par chhini bibiyo(n) ki rida (Hussain ya hussain ya hussain ya hussain) x2 7. Kyu(n) khof-e-ajal se pareshaa(n) huwe, hai nisbat juri ab to Shabbir seHai matam bapa aaj har aan mei, Kabhi haath se aur zanjeer se,Hai zainab ki sunnat aza-e-hussain, mila hai hamme teri hamsheer se (Hussain ya hussain ya hussain ya hussain) x2 8. Ye matam se milta hai hamko khuda, Ye matam hai khud sunnat-e-ambhiyaYe matam har ik marz ki hai dawa, ye matam hattata hai har ik balaYe matam hai shaytaaniyat ki qaza, ye matam hai sab momino(n) ki baqa (Hussain ya hussain ya hussain ya hussain) x2 9. Haaye kal the Zainab ke bazu bandhe, na kar paayi matam shaheedo(n) ka tabMeri shaahzadi aza-e-hussain, Tejani bapa karte hai aaj sabYe baqi rahegi sada nasl mei, lahu mei mila hai tera naam ab (Hussain ya hussain ya hussain ya hussain) x2