Arzu-e-karbala
- Farhan (ALI WARIS) (2002)
Arzu-e-karbala
(Jaraha Hoon Jaraha Hoon) x2
(Karbala) x4
Jaraha Ho Karbala Main Jarha Hoon Karbala Main
(Mominon Mil Kar Chalo) x2 Yeh Hai Hussaini Qafla(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Farz Hai Ganj-e-Shahidan Ki Ziarat Is TarhaFarz Quraan Ki Tilawat Aur Ibadat Jis Tarha
Karbalal Ghum Ka Madina Karbala Kaaba Numa
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Woh Zamin Jo Mool Li Thi Syed-e-Abrar(a.s.) NayUs Zamin Par Sheh(a.s.) Ko Mara Shimr-e-Bad Atwar Nay
Us Zamin Ki Khaak Ko Sheh(a.s.) Nay Kia Khaak-e-Shifa
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Karbala Kia Hai Moalla Adam(a.s.)-o-Eesa(a.s.) Ka HaiKarbala Dar-Ul-Khilafa Khum Kay Us Mola(a.s.) Ka Hai
Jo Kay Hai Nafs-e-Payambar(s.a.w.w.) Jo Kay Hai Sher-e-Khuda(a.s.)
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Yeh Zamin Woh Hai Jahan Sota Hai Zehra(s.a.) Ka PisarAmbia(a.s.) Kartay Hain Sajda Ab Bhi Us Ki Khaak Par
Apnay Bachchon Kay Liey Mehw-e-Fughaan Hain Syeda(s.a.)
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Gardan-e-Shabbir(a.s.) Par Khanjar Chala Tha Jis JagahSeena-e-Akbar(a.s.) Mein Naiza Tha Jahan Toota Hua
Gulshan-e-Zehra(s.a.) Kay Gul Bootay Jahan Hain Ja Baja
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Roza-e-Abbas(a.s.) Par Jakar Azadari KareinRoza-e-Shabbir(a.s.) Par Aankhon Say Khoon Jaari Karein
Alqama Peh Jakay Piyason(a.s.) Ki Karein Majlis Bapa
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Haaey Woh Shaam-e-Ghariban Jis Mein Zainab(s.a.) Lut GaiBaap Say Baali Sakina(s.a.) Beton(a.s.) Say Maan(s.a.) Chut Gai
Asghar(a.s.)-e-Maasoom Ka Jis Dasht Mein Jhoola Jala
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2