Bade Sarkar
- Syed Raza Abbas Zaidi (2026)
Maula Hussain - 4
Kehte hain Husain (a.s.) jab bhi aao Karbala
Pehle maango mere chhote bhai se raza
Zaairo do sada, Badshah-e-Wafa
Yaad aa rahi hai Karbala
Woh hain Maula Sakhi Maula (a.s.)
Tum irada karo ziyarat ka
Dil nahi todte kabhi Maula (a.s.)
Izn-e-ziyarat chhote Sarkar se le ke
Aao chalein bade Sarkar se milne - 2
Tazurooni aahidkum, ta'arifooni, shafee' aykum
Saamne rauze ke gumbad jo nazar aayenge
Aankh mein aansu unhein dekh ke bhar jayenge
Dil se niklegi sada, Ya Aba Abdillah
Aap par mera salam aye Husain (a.s.) Saarallah
Rote hue unhein awaaz yeh denge
Maula (a.s.) yahan aap mazloom the kitne
Karte hain fazl o karam Fazl ke Baba sab par
Unko tum yaad karo Bab-ul-Hawaij keh kar
Tumko lene ke liye khud woh aa jayenge - 2
Saath Abbas (a.s.) ke hum Karbala jayenge
Wada karo in ziyaaraat se pehle
Roenge hum Kaf-e-Abbas (a.s.) pe ja ke
Dil mein jo baat hai Abbas (a.s.) se ja kar kehna
Unke rauze ki taraf dekh ke rote rehna
Do kate haathon ka unko pursa dena - 2
Kehna hum bhoole nahin Alqama par jo hua
Gurz laga haye jab aap ke sar pe
Zakhmi hue aap rahwaar se gir ke
Maula Abbas (a.s.) jise chahein bula lete hain
Woh ghareebon ko bhi zawwar bana dete hain
Aye azadaro suno fikr kyun karte ho - 2
Maula (a.s.) bulwa lenge unse keh kar dekho
Haath rakho ja ke ek baar alam pe
Zaad-e-safar khud Alamdar karenge
Abad wallah ya zahra maninsa hussaina
Maula jab sunta hoon naara main "Abdullah" ka
Dil mera kehta hai "Mann sa Husaina Zahra (a.s.)"
Haan woh Hal Min ki sada kabhi bhoolenge na hum - 2
Jab nazar aayega Shah-e-Wala ka haram
Bolenge hum door se haath utha ke
Aa gaye hum Ya Husain (a.s.) aap se milne
Izn jab Hazrat-e-Abbas (a.s.) se hum payenge
Ya Husain (a.s.) aap ke rauze se lipat jayenge
Wasta Zahra (a.s.) ka mujh ko rone dena - 2
Haath mere dil par Maula (a.s.) tum na rakhna
Haq to yeh hai dil yeh phat jaye wahan pe
Qatl hue maula jis khaak pe pyase
Waheen Qasim (a.s.) ka badan ghode se paamaal hua
Barchhi Akbar (a.s.) ke lagi, seene ka kya haal hua
Teer Asghar (a.s.) ko laga, chhid gaya nanha gala - 2
Do the Zainab (a.s.) ke pisar, dono ko maar diya
Ahl-e-Haram jahan har laash pe roye
Aaj bhi hain waheen Sadat ke khaime
Kitne din ho gaye woh rauza nahin dekha hai
Jiske darwaze pe Saqi-e-Atash likha hai
Bolo Zeeshan o Raza, aye Shahenshah-e-Wafa - 2
Zaairon mein ab to naam likh de mera
Baithoon kabhi main bhi darbar mein aa ke
Rota rahoon haye awaaz yeh sun ke