Dum Yazidi Foaj Mai
- Mighdad Haider (2002)
Dum yazidi fo'oj me shabbir ke kabil na tha...
Shah e deen ki baat kya besheer kabil na tha.. 2
fatema ki betiyaan aur sham ka baazar th'aa.. 2
Karbala ka wa'aqiya tash'heer ke kabil na tha.. 2
fatema'a sughra ke khat ke shah'a kya dete jawab..2
Ek bhi in'saan idhar tehreer ke kabil na tha.. 2
Hur'mala se puchiye zalim ye tune kya kiya.. 2
Asghar e masoom tere teer ke kabil na tha.. 2
Bare'ha chhuma tha jisko sarwar e konain ne..2
Shah'a ka sookha gala shamsheer ke kabil na tha.. 2
Aye layee'no ye sukoon e qaba e islam the.. 2
Paa'ey abid zalim'on zanjeer ke kabil na tha.. 2
Sar bare'hna is tarha'a dar dar phira na zalim'on.. 2
Warisa'ne chaadar e tatheer ke kabil na tha.. 2
Aye Ali akbar tere barchhi kaleje par lagi... 2
Sar pe sehra dekhna humsheer ke kabil na tha...2