Azmaton ka hai aasmaan zahra

- Shahid Baltistani (2025)



Ya Zahra Ya Zahra, Ya Zahra Ya Zahra s.a

Azmaton Ka Hay Aasman Zahra s.a

Hay Jahan Bhi Khuda Wahan Zahra s.a

Tum Hijaab E Khuda Ho Kiyun Na Kahun

Hay Jahan Bhi Khuda Wahan Zahra s.a

Kesay Dekhay Bashar Hay Kesa Khuda

Noor Tera Hay Darmiyan Zahra s.a

Shab E Mairaaj Sath Haider Kay

Apnay Baba Ki Mezban Zahra s.a

Jiski Azwaaj Maa'n Hain Ummat Ki

Us Mohammad Ki Tum Ho Maa’n Zahra s.a

Wazn Main Ayaton Kay Jesi Hay

Teri Fizza Ki Rotiyan Zahra s.a

Naam Tera Bhi Is Main Shaamil Ho

Day Day Salman Jo Aza’n Zahra s.a

Hur Ka Roomaal Day Raha Hay Sada

Maatmi Pay Hay Mehrbaan Zahra s.a

Arsh Gir Jaey Ga Zameen Pay Abhi

Khol Day Tu Jo Muthiyan Zahra s.a

Aap Ki Tarhan Maang Leti Fidak

Aur Hoti Jo Betiyan Zahra s.a

Farsh e Matam Tera Jo Hay Qum Main

Hay Wo Darvaish Ka Jahaa'n Zahra s.a