Maa dekho na

- Farhan (ALI WARIS) (2026)



Gire jo ghode se maqtal mein shah e karbobala
hazaro'n zakhm the saara badan lahu se bhara
suni jo qadmo ki awaaz to uthe maula
kaha tadapke ye jab maa ko saamne dekha
Maa.. Ali Akbar ko naiza maara
Haye, 
Maa.. hogaya seena paara paar
Haye,
Maa.. beh gaya uska khoon bhi saara maa dekhona

Uthaya hai jab se uska laasha mai thak gaya hu maa
Fajr se lekar asr talak mai ujad gaya hu maa..(2)
Haye maa, haye maa, dekho na

1. Maa.. Meri sakina kaise jiyegi
Haye, Maa.. baap ka seena woh dhundhegi
Haye, Maa.. mere bina woh mar jayegi maa dekhona
sulake mai khaak par sakina ko aagaya hu maa
Fajr se lekar asr talak mai ujad gaya hu maa
Haye maa, haye maa, dekho na

2. Maa.. margaya meri god mein ghazi
Haye, Maa.. kat gaye baazu beh gaya pani
Haye, Maa.. hogaya uska chehra zakhmi maa dekhona
nahi mile koi bhai se jaise mai mila hu maa
Fajr se lekar asr talak mai ujad gaya hu maa
Haye maa, haye maa, dekho na

3. Maa.. jiska badan tha phool ke jaisa
Haye, Maa.. usko uthane jab mai pohcha
Haye, Maa.. bikhra tha qasim ka laasha maa dekhona
sameta usko kaha'n kaha'n se mai jaanta hu maa
Fajr se lekar asr talak mai ujad gaya hu maa
Haye maa, haye maa, dekho na

4. Maa.. auno mohammad mar gaye pyase
Haye, Maa.. zinda na aaye woh darya se
Haye, Maa.. mil nahi paye woh sughra se maa dekhona
magar sakina ko unke laashe dikha chuka hu maa
Fajr se lekar asr talak mai ujad gaya hu maa
Haye maa, haye maa, dekho na

5. Maa.. ghutniyo bhi jo chal nahi paaya
Haye, Maa.. teer gale par usne khaya
Haye, Maa.. asghar ko maine dafnaya maa dekhona
woh kitna pyasa tha sochkar mai tadap raha hu maa
Fajr se lekar asr talak mai ujad gaya hu maa
Haye maa, haye maa, dekho na

6. Maa.. aapka beta reh gaya tanha
Haye, Maa.. lakho ne milkar mujhko maara
Haye, Maa.. teer lage aur khaya naiza maa dekhona
hai zakhmi sar dekho gurz khakar abhi gira hu maa
Fajr se lekar asr talak mai ujad gaya hu maa
Haye maa, haye maa, dekho na

7. Tha rann mein zeeshan aur farhan kaisa manzar
tha rann mein zeeshan aur farhan kaisa manzar
jab aake seene pe shimr baitha to bole sarwar
Maa.. chalne wala hai ab khanjar
Haye, Maa.. haath na rakhna tum gardan par
Haye, Maa.. god mein lelo mujhko aakar maa dekhona
sukoon se maut aaye bus mai yeh chahta hu maa

Fajr se lekar asr talak mai ujad gaya hu maa
Haye maa, haye maa, dekho na