Kufe ki faseelo pe ujala hai ali ka

- Rizwan Rizvi (2018)



Kufe ki faseelo pe ujala hai ali ka

Zainab tere takrir mai lehja hai ali ka

Quraan zabaan hai labe tatheer e takalum

Alfaz hain zainab ke karishma hai ali ka

Hain jumla ,sharaf mamlakaate ,nuqte ba mai

Quraan e khuda ek qasida hai ali ka

Lehje mai hai quraan e saloni ke balaghat

Hoton pe chamakta huwa khutba hai ali ka

Woh manzile meraaj hai yeh kahan e haider

Kausaan mohammed ka hai kabba hai ali ka

Bolega abhi haider karaar ka mesaam

Fitrat ke takaazat pe qabza hai ali ka

Udh jaige khud he rasan o daar ki dhaji

Mesaam ke dhan mai labo lehja hai ali ka

Batil.ke jabin par hai zawaal e shab e.Gurbat

Abbas ke maate pe ujala hai ali ka

Ankhon mai samata nhi do lakh ka lashkar

Abbas ke seene mai kaleja hai ali ka

Jari hai razi aaj bhi maula ke sakawaat

Mamnoon e karam sara zamana hai ali ka