Haider-e-Karrar madad ya Ali
- Shahid Baltistani (2026)
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali
Yeh kis ne kaha, yeh kis ne kaha
Zinda rahenge toh kahenge
Hum naam-e-Ali, hum naam-e-Ali
Le ke marenge toh jiyenge
Meri saanson mein Ali, hai nigaahon mein - 2
Meri dhadkan ki sada, seene mein har dam boli
Haider-e-Karrar, Haider-e-Karrar madad ya Ali
Karbala walon ne yeh baat bhi saabit kar di
Ya Ali Jaane ukhuwat hai wilayat teri
Ek lashkar mein lade John, Zuhair aur Wahab
Faisla ho gaya, yeh jang nahi mazhab ki
Ya Hussaini hai koi, ya Yazidi hai koi - 2
Aao fir milke sada dete hai shia sunni
Jang ke baad phir ek jang ki tayyari hai
Asl mein Karbobala aaj talak jaari hai
Ek Sayyed ki shahadat ne bataya sab ko
Ek Ghulam aaj bhi lakho ke liye bhaari hai
Maut se kya darna, ek din hai marna - 2
Wird ye jaari rahe chahe ho gardan pe churi
Salam Ya Ali Madad - 2
Salaam aye Shaheedon as salam - 2
Khoon se apni shama deen ki jalayi tumne
Asl-e-Islam ki tasveer dikhayi tumne
Kar diya waqt ke Firaun ko tumne ruswa
Aur Ali walon ki izzat hai badhayi tumne
Haq ada tumne kiya, narae haider ka - 2
Dedi haq ke liye ye kehte hue jaan apni
Tune puchi hai imamat ki haqeeqat mujse
haq tuje meri tarha sahebe asraar kare
Hai wohi tere zamane ka imame barhaq
Jo tuje zaahiro maujood se bedaar kare
Kya thi Khyber, yeh tumhe yaad dilayega wahi
Kaise ladte the Ali, lad ke dikhayega wahi
Uske hamle se na bach payega koi Marhab
Zulfiqar abhi hai khukhaar batayega wohi
Fatima Zehra (s.a) ka hai jalali beta - 2
Mehdi (a.t.f.s) yeh kehte hue, todega dushman ki nali
Ashshado anna Aliyun waliyullah
Ek lamhe ke liye aankhein karo band apni
Main dikhata hoon tumhe kaisi thi 61 Hijri
Wo Mohammad (saww) ka nawasa tha Hussain Ibne Ali
Jisne sar de diya, zaalim ki nahi bai'at ki
Bhai bhi mara gaya, dafan Asghar (a.s) ko kiya - 2
Laash ye kehke uthayi thi jawaan bete ki
Wada nana se kiya tha jo nibhaya usne
Apna sab waar diya deen bachaya usne
Qatl jab hogaye maidan me saare naasir
Hausla dene lagi karbobala ki naashir
Bhai se kehne lagi, saath abhi hai Zainab (s.a)
Kya hua bhai agar qatl hue pyaare sab - 2
Aaj Abbas (a.s) nahi, koi bhi paas nahi - 2
Jab sawaar aake kiya bhai ko, Zainab (s.a) boli
Haider-e-Karrar Madad ya Ali
Khankaho se nikal aao, imamat ke liye
Aane wala hai Alamdar, qayamat ke liye
Naam par jiske jhukate ho ziyarat mein sar
Takht tayyar hai ab uski nizamath ke liye
Socho Darveshe Aza aur Zeeshan zara
Waqt kya hoga yeh jab keh ke ladega Mehdi (atfs)
Haider-e-Karrar Madad Ya Ali