La denge tumhe paani

- Mir Hasan Mir (2026)



mere ammu abbas mere abbas
jab pyaas badhi pani na mila
tu ro ke sakina ne di ye sada
aye mere chacha main tum pe fida

asghar hai mera kab se piyasa
tum piyason ki sakai karo
dariya se humain pani laa do
sar chum ke phir shahzadi ka
abbase jari ne farmaya

la daingy tumhein pani ye bachon ko bata do
hum nahar pe jate hai aye shahzadi dua do

hum bethain hai do zanon tum aagye barhon bibi
khud hathon sa mashkiza kandha pe rakho bibi
aye piyasi sakina humain saka tu bana do

main jaao jo maidan main tile pe chali ana
khud dekhna ankhon sa sahil pe mera jana
tum roz he kehti thi sifeen suna do

allah kare jaldi ye khatm udasi ho
abbas ke hote bhi seh roz se pyasi ho
mere bandhain hathon ko azad kara do

izhar na ho paya is quwat e bazu ka
majboore itaat hai dil phatta hai ammu ka
lillah na ab kehna meri pyaas bujha do

khidmat main bhatiji ki kaam aaye mere bazu
bil farz jo dariya pe kat jaye mere bazu
tadpo gi nahi bibi yaqeen mujh ko dil do

ye rukhsat e akhir hai baba ko tujhe saupa
ab teeron ki barish main jata hai tera saqqa
ek shor hai faujon main qamar sheh ki jhuka do

pur khoon takallum jab wo mashk o alam dekhe
abbas ke bete ne ro kar kaha bibi se
baba ki tarah se hame mashkiza tu la do