ALI MOULA(as), ALI MOULA(as)

- Hasnain Abidi (2023)



Liya jab naam Aaqa ka Ali(as) Moula, Ali(as) Moula;
Tilawat ka mazaa aaya, Ali(as) Moula, Ali(as) Moula.

1) Ye bola jhoom kar Makkah, Ali(as) Moula, Ali(as)Moula
Hai tujh se azmat e Kaaba, Ali(as) Moula, Ali(as) Moula.

2) Kalaam-e-paak simta hamd me aur amd nuqte me;
Hai Bismillah ka nuqta, Ali(as) Moula, Ali(as) Moula.

3) Faraaz-e-daar se ye Meesum-e-Tammar kehte the,
Wazifa hai yehi mera, Ali(as) Moula, Ali(as) Moula.

4) Jo tha murda faqt thokar lagaakar ek hi pal me;
Kiya tu ne usey zinda, Ali(as) Moula, Ali(as) Moula.

5) Mai shehr-e-lIm hu irshaad hai ye khud Payambar(saws) ka;
Ali(as) hain uska darwaaza, Ali(as) Moula Ali(as) Moula.

6) Lagaate hain jo hum naara bura kyu lagta hai tumko;
Rasool-e-haq(saws) ka hai naara, Ali(as) Moula, Ali(as) Moula.

7) Uthaakar apne haathoun par kaha Sarkar (saws) ne dekho;
Ghadeer-e-Qum ka hai Dulha, Ali(as) Moula, Ali(as) Moula.

8) Kaha mujhse farishtoun ne tera mushkil kusha hai kon;
Zubaan ke saath dil bola, Ali(as) Moula, Ali(as) Moula.

9) Banega Sahil o Hasnain rasta khud samandar me;
Quloos-e-dil se bas kehna, Ali(as) Moula, Ali(as) Moula.
Ali(as) Moula, Ali(as) Moula