Qafla roko ghazi

- Mir Hasan Mir (2026)



rahware hussaini jab thehra, aur ek qadam aage na badha
kuch khaak utha ke haantho me abbas se ye maula ne kaha
sar apna yaha katwayenge iss khaak pe hum so jayenge
qafela roko ghazi - 2
agayi karbobala qafela roko ghazi

agayi karbobala qafela roko ghazi - 2

ye safar khatm hua yahi maqtal hai mera
qafela roko ghazi

agayi karbobala qafela roko ghazi - 2

sun ke zehra ki buka jaan chali jati hai
iss zami se to mere khoon ki boo aati hai
maa ki aati hai sada dil bhi kehta hai mera
qafela roko ghazi

apni manzil se kahi aage nahi jana hai
hum ko sajjad ne bhai yahi dafnana hai
roti behno se hame yahi hona hai juda
qafela roko ghazi

sungh kar khaak ko aisi huyi riqqat tari
inna lillah hua sheh ke labo se jaari
sajda e shukr kiya mud ke bhai se kaha
qafela roko ghazi

ye zami paao pakdati hai mere ruk jaao
sar khule aaye the jibreel abhi ruk jaao
aye sakina ke chacha aa gaya hukme khuda
qafela roko ghazi

maqtale ishq ki jo mange wo qimat dedo
ye zameen naam pe ham shakle nabi ke lelo
kon basta hai yaha puch lo jake zara
qafela roko ghazi

dekho wo chand mujhe aise hi kham hona hai
iss tarayi me mera baju kalam hona hai
khoon me dubega yaha ek bhatiji ka chacha
qafela roko ghazi

naam tum kar na rakam sare azadaro ke
iss jagah aayenge ab kafile zawwaro ke
mera matam hoga aayenge ahle aza
qafela roko ghazi

che mahino se safar me hai musalsal asgar
kan me keh de koi aagaya ab aakhri ghar
Are teer khayega yaha wo mera mahe laqa
qafela roko ghazi

haaye ek wo din tha takallum ke Ali ki beti
berida gyarah moharram ko yaha se jo chali
roke deti thi sada dukhtare shere khuda
qafela roko ghazi