Khamosh hai Maula

- Shahid Baltistani (2026)



Haye Haye Ali Akbar (a.s)

Lasha Jawan Betaay Ka Hai Samnay Para
Khamosh Hain Maula (a.s)

Armaan Tha Jiski Shadi Ka Woh Laal Margaya

Khamosh Hain Maula (a.s)

Athara Saal Walay Kay Chehray Pay Kuch Nishaan Bhi Hain
Aur Tooti Pasliyan Bhi Hain
Betaay Ka Haal Dekh Kay Yaad Aati Hain Zahra (A.S)

Khamosh Hain Maula (a.s)

Shana Kabhi Hilata Hai Chehra Kabhi Thapakta Hai
Kitna Ghareeb Baba Hai
Hanstay Hain Barchiyon Walay Akbar (A.S) Nahi Uthta

Khamosh Hain Maula (a.s)

Tum Sabr Karna Ae Baba Seenay Say Khainch Kar Barchi 
Akbar (A.S) Ki Yeh Wasiyat Thi
Seenay Say Khainch Li Barchi Poora Hua Waada

Khamosh Hain Maula (a.s)

Zainab (A.S) Na Dekh Lay Aakar Yeh Ran Mein Kaisa Manzar Hai
Betaay Ka God Mein Sar Hai
Ik Haath Mein Kaleja Hai Ik Haath Mein Neza

Khamosh Hain Maula (a.s)

Apnay Zaeef Kaandhay Par Laash-E-Jawaan Uthatay Hain
Uthtay Hain Baith Jaatay Hain
Ghazi (A.S) Ki Yaad Aati Hai Uthta Nahi Lasha

Khamosh Hain Maula (a.s)

Khaimay Mein Shah (A.S) Lay Aaye Karrayl Jawan Ka Lasha
Kohraam Hogaya Barpa
Bhai Kay Zakhmi Seenay Say Lipti Hain Sakina (s.a)

Khamosh Hain Maula (a.s)

Kya Bebasi Ka Aalam Tha Aaya Jo Khat Madinay Say
Maula Jawab Kya Daitay
Akbar (A.S) Kay Zakhmi Seenay Par Rakhkar Khat-E-Sughra (A.S)

Khamosh Hain Maula (a.s)

Tha Fatima (s.a) Ki Beti Ka Kitna Khayal Dono Ko
Zeeshan Abidi Dekho
Zainab (s.a) Sarhanay Baithi Hai Khamosh Hai Laila (s.a)

Khamosh Hain Maula (a.s)