Ya ali ya ali ya ali

- Ali akbar ameen (2018)



Ya Ali Ya Ali Ya Ali

Amiri va nemal amiri

Nasiri va nemal nasiri

Ya Ali Ya Ali Ya Ali

Salamun Ala Sayyadul Awsiya

Salamun ala kabatul awliya

Salamun Ala Sayyadul aarefin

Salamun Ala awwalul momenin

Salamun alaika ya Haider

Ali kausar zamzam

Ali taj e alam

Ali isme azam

Ya Ali Ya Ali Ya Ali

Ali rehbar e din e islam hai

Ali rabb e akbar ka ek naam hai

Ameere arab shahe khaiber shikan

Ali saf shikan eliya bul hasan

Salamun alaika ya haider

Ali Shah e Marda'n

Ali Sher e Yazda'n

Ali kulle ima'n

Ya Ali Ya Ali Ya Ali

Ali ki wilayat jo shamil nahi

Toe koi ibadat bhi kamil nahi

Mohammad ka damad bhai wasi

Bilafasl hai janashin e nabi

Ali Dil kaba

Ali Dil kibla

Ali Dil sajda

Ya Ali Ya Ali Ya Ali

Ali mehrame raaze kunfayaku'n

Ali qalbe momin ki khatir suku'n

Ha name ali esa mizan hai

Jo momin munafiq ki pehchan hai

Salamun alaika ya haider

Ali Dino Duniya

Ali Arshe Ala

Ali Moula Moula

Ya Ali Ya Ali Ya Ali

Ali pay ye kaisa sitam hai hua

Chali haye sajde may teghe jafa

Musalle pay fuzto be rabbi kaha

Hua shehre kufa may matam bapa

Salamun alaika ya haider

Padho roke noha

Tadapkar hogirya

Ali ka hai pursa

Ya Ali Ya Ali Ya Ali

Hamari hai salmano akbar dua

Bualae najaf humko sher e khuda

Dar e murtuza pay rakhe apna sir

Gadao'n ki tarha rahey umr bhar

Kaho haider haider

Ali subka rehbar

Ali shere dawar

Ya Ali Ya Ali Ya Ali