Aye naujawan kiski nazar lag gayi tujhe
- Farhan (ALI WARIS) (2026)
Haye, haye, haaye..
Kandhe pe lasha-e-ali akbar liye hue
khaimo me ladkhadate hussain aaye dasht se
haye madar lipatke boli yeh akbar ki laash se
Aye naujawan kiski nazar lag gayi tujhe
Aye naujawan kiski nazar lag gayi tujhe..
Allah..
Aye naujawan kiski nazar lag gayi tujhe
tu ne to dulha banna tha is maa ke saamne
Aye naujawan kiski nazar lag gayi tujhe
Akbar..
Aye naujawan kiski nazar lag gayi tujhe
1. Sehra uthake layi hai mayyat pe teri maa
dulha tumhe banane ke yeh din the meri jaa'n
haye dulha tumhe banane ke yeh din the meri jaa'n
akbar jawaa'n abhi tere marne ke din na the
Aye naujawan kiski nazar lag gayi tujhe
2. Beta to apni maa se kabhi rooth-ta nahi
awaaz par meri kyu tu kuch bolta nahi
haye awaaz par meri kyu tu kuch bolta nahi
tu hi bata de kaise manaye yeh maa tujhe
Aye naujawan kiski nazar lag gayi tujhe
3. Toda hai tumne baba ki godi mein jab se dam
binayi jaa chuki hai kamar ho chuki hai kham
haye binayi jaa chuki hai kamar ho chuki hai kham
jeete the tere baba tujhe dekh dekh ke
Aye naujawan kiski nazar lag gayi tujhe
4. Behno ne tujhko mehendi lagani thi haath par
kubra bhi hai sirhane sakina bhi hai magar
haye kubra bhi hai sirhane sakina bhi hai magar
afsos meri sughra na mil payi bhai se
Aye naujawan kiski nazar lag gayi tujhe
5. Dekhi hai usne seene mein tooti hui sina
nazo'n se jisne paala hai mar jaegi woh maa
haye nazo'n se jisne paala hai mar jaegi woh maa
kyu tum bhari jawani mein jaate ho chhod kar
Aye naujawan kiski nazar lag gayi tujhe
6. Yasrab mein tere dost jo puchenge meri jaa'n
tum mar gaye ye kaise batayegi unko maa
haye tum mar gaye ye kaise batayegi unko maa
har ek naujawa'n ko salamat khuda rakhe
Aye naujawan kiski nazar lag gayi tujhe
7. Zeeshan abidi ho ya farhan har jawa'n
ro ro ke yaad karta hai akbar ki hichkiya'n
haye ro ro ke yaad karta hai akbar ki hichkiya'n
seene pe haath rakhta hai yeh bol bol ke
Aye naujawan kiski nazar lag gayi tujhe
Aye naujawan kiski nazar lag gayi tujhe....