Ishq e mann karbobala

- Ali akbar ameen (2018)



Karbala ishq ka onwan nazar aati hai

Din e Mabood ki pehchan nazar aati hai

Khair o shar ke lie mizan nazar aati hai

Kalbe momin ke lie jaan nazar aati hai

Zindagi karbobala

Bandagi karbobala

Roshni karbobala

Aagahi karbobala

Meri saanso ko sare arze najaf chhod aaya

Or dil chhod ke aaya hon sare karbobala

Sath may laya hon bus fatema zehra ki dua

Ghazi abbas ke parcham ke pharere ki hawa

Jub watan ko pohcha

Her hussaini ne kaha

Zaere karbobala

Marhaba sad marhaba

Karbala mera najaf say hai hua esa safar

Ek jannat say kia dusri jannat ka safar

Ishq e shabbir ka or ishq e Ali ka tha safar

Ba khuda sath malaik ke hua mera safar

Ambiya sath rahey

Awliya sath rahey

Owsiya sath rahey

Or sada dete rahey

Karbala kaba e dil qibla wafadari ka

Karbala naam hai mazloom ki ghamkhari ka

Karbala sadiyon say maktab rahi bedaari ka

Karbala aaj bhi markaz hai azadari ka

Noor e haq shamme haram

Ishq e sarwer ki kasam

Karbala ka hai karam

Haq ka ocha hai alam

Karbala pyas e musafir ki kahani bankar

Kahi abbas ki akbar ki jawani bankar

Kahi qasim kahi asgar ki nishani bankar

Her azadar ki aakhon may hai pani bankar

Karbala tashna labi

Chashme momin ki nami

Karbala khoon e ali

Makhtal e aale nabi

Kaisa badla hai ye zehra ki dua ne manzar

Kal na ro paye jaha ehle haram pyaro'n par

Waha purse ke lie aaj hazaro hai bashar

Kis kadar shan say barpa hai aza e sarwer

Noor e gham roohe aza

Arz e girya o buka

Noha matam ki sada

Pursa e shahe hoda

Bus yahi akbar o salman hamari hai dua

Her baras roza e sarwer pay karey hum sajda

Jub talak zinda rahey jaate rahey karbobala

Or markar bhi mayyasar hoe humaey khake shifa

Hum jo chhodey ye chaman

Or lehed may hoe badan

Karbala ka hoe kafan

Hoe labo par ye sukhan