Mere Ghar Par Alam Hoga

- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2017)




Ye kab mujhpar Karam hoga, merey Ghar par Alam hoga
Ali uspar raqam hoga (2) to Mera bhi bharam hoga

1) ujaaley hongey merey Ghar mey ab chauda (14) charaago se
Farishtey phool leykar aayengey Jannat ke baago se
Mera Ghar ab meri bastii (2) mey sab se mohtaram hoga

2) Mujhey Jannat nazar aayega Mera aastaana bhi
Najaf banjaayega ye ab malango ka thikaana bhi
Wohii Damm hoga jab maulaayiyo ke Damm mey damm hoga

3) raheyga Mera Ghar naad e Ali ke ab hisaaro mey
Fizaa kaisey raheyga ye bahaaro ho bahaaro mey
Ali uskey nahi Maula (2) munaafiq ko ye ghum hoga

4) my apney Ghar mey yu shaam e qalandar bhi manaaunga
Saqi sardaar ki is tarah se naarey lagaaunga
Mazaa sehwan ka aayega (2) yehii rabb ki qasam hoga

5) namaaz e ishq us Ghar mey padhoonga panjgaana bhi
Gadeer e qum ka goonjeyga merey Ghar mey taraana bhi
Hasan ka lehja hoga aur (2) zafar Tera Qalam hogah