Khwab e sakina

- Irfan Haider (2026)



Khwab e sakina..(2)
Zindane sham mein, ek khwab sakina ne dekha
Baba.. Baba
Mere rukhsar salamat hai mere baba
Mera kurta bhi salamat hai mere baba

Jab woh bedaar hui, jab wo bedaar hui
cheekh ek maar ke woh baap ke sar se boli
aise na hota.. haye baba
aise na hota mera rukhsar neela
kaash yeh saara safar ek khwab hota

itni zakhmi aaj na hoti sakina
kaash yeh saara safar ek khwab hota

1. Phupiyo'n ke shano ko jis rassi mein bandha tha baba
us rassi mein hi bandha zalimo ne mera gala
dum mera shaam ki raho'n mein baba ghut-ta raha..(2)
panjo pe chal kar.. aye baba
panjo pe chal kar woh jo maine guzara
kaash yeh saara safar ek khwab hota..
baba jaan.. baba jaan.. 
aye baba mere pyare baba

itni zakhmi aaj na hoti sakina
kaash yeh saara safar ek khwab hota

2. Jisne jab chaha mujhko maara mai kuch boli nahi
kitna tum pyaar karte the baba mai bhooli nahi
jabse bichdi hu tumse chayn se mai soyi nahi..(2)
mujhko mil jata.. aye baba
mujhko mil jata mere baba ka seena
kaash yeh saara safar ek khwab hota..
baba jaan.. baba jaan.. 
aye baba mere pyare baba

itni zakhmi aaj na hoti sakina
kaash yeh saara safar ek khwab hota

3. Mere bhaiyya Akbar ke seene mein lagti na barchi
Auno mohammad hote saath aur bhaiyya Qasim bhi
aur Ammu jaan ke baazu bhi nahi kat-te kabhi..(2)
nauke naiza par.. aye baba
nauke naiza par sare Asghar na hota
kaash yeh saara safar ek khwab hota..
baba jaan.. baba jaan.. 
aye baba mere pyare baba

itni zakhmi aaj na hoti sakina
kaash yeh saara safar ek khwab hota

4. Na mere chinte gauhar na hi mai maqtal mein aati
na tumko dhundhti baba na laasho se takrati
na mera daman jalta na zalim ke durre khati..(2)
dekhti na mai.. aye baba
dekhti na mai tumhara zakhmi laasha
kaash yeh saara safar ek khwab hota..
baba jaan.. baba jaan.. 
aye baba mere pyare baba

itni zakhmi aaj na hoti sakina
kaash yeh saara safar ek khwab hota

5. Baba tumhari beti ko kitna tadpaya gaya
baalo se khech kar bazaro mein jab laya gaya
mujhko rahwar se bandha gaya daudaya gaya..(2)
dekh kar mujhko.. aye baba
dekh kar mujhko na mera bhai rota
kaash yeh saara safar ek khwab hota..
baba jaan.. baba jaan.. 
aye baba mere pyare baba

itni zakhmi aaj na hoti sakina
kaash yeh saara safar ek khwab hota

6. Dadi Zehra ki tarha baalo mein safedi dekho
kya mai thi aapke jaane se pehle aisi dekho
deeware thaam kar chalti hai ab yeh beti dekho..(2)
chaar(4) barso mein.. aye baba
chaar(4) barso mein na hoti mai zaeefa
kaash yeh saara safar ek khwab hota..
baba jaan.. baba jaan.. 
aye baba mere pyare baba

itni zakhmi aaj na hoti sakina
kaash yeh saara safar ek khwab hota

7. Zindane shaam mein zeeshan aur irfan e azaa
rakha jab baap ke zakhmi chehre par apna chehra
bus itna kehte hue us masooma ne dum toda..(2)
haye mera madfan.. aye baba
haye mera madfan na hota qaidkhana
kaash yeh saara safar ek khwab hota..
baba jaan.. baba jaan.. 
aye baba mere pyare baba

itni zakhmi aaj na hoti sakina
kaash yeh saara safar ek khwab hota