Ilayya Ya Bunaiyya
- Farhan (ALI WARIS) (2003)
Ilayya Ya Bunaiyya
Ilayya Ya Bunaiyya
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Thookrain Khaati Hui Maqtal Mein Kion Aai Hai TuMujh Ko Dikhlanay Tamanchon Kay Nishan Lai Hai Tu
Neend Say Aankhein Hai Bojhal Aa Meray Nazdeek Aa
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Jaanta Hoon Meray Senay Par Sada Soi Hai TuTeri Aankhein Keh Rahi Hain Kis Qadar Roi Hai Tu
Is Andheray Dasht Mein Kion Daiti Hai Mujh Ko Sada
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Aaj Ki Shab Maan(s.a.) Kay Paihloo Mein Hi Sona Tha TumhainPiyasay Bachon Aur Phuphi(s.a.) Sath Rehna Tha Tumhain
Aa Meray Teeron Bharay Seenay Peh Aakay Lait Jaa
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Hogai Hai Shaam Phir Bhi Garm Hai Saari ZaminDaikh Teray Paoon Mein Chalay Na Parh Jaen Kahin
Kion Nikal Aai Hai Khaimay Say Barehna Pa Bata
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Sogaey Wehshi Darinday Tu Hai Ab Tak JaagtiPhir Rahi Hai BaBa(a.s.) BaBa(a.s.) Kehti Meri Laadli
Main Yahan Aur Nehr Peh Betab Hotay Hain Chacha(a.s.)
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Aa Meri Aaghosh Mien Kuch Dair Aakay Lait JaPhir To Sooey Shaam Jaega Hamara Qafla(a.s.)
Teri Gardan Mein Rasan Bandhay Gi Yeh Fauj-e-Jafaa
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Tujh Ko Paidal Mujh Ko Naizay Par Safar Karna Hai AbKarbala Sar Hochuki Hai Shaam Sar Karan Hai Ab
Daikh Marqad Chorh Kay Maqtal Mein Aaen Syeda(s.a.)
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Beh Raha Hai Khoon Kaanon Say Sakina Kis QadarAskh Say Chehra Hai Bheega Khon Say Poshak Tar
Daikh Kar Tujh Ko Pukara Laasha-e-Besar Mera
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2