Abbas Ya Abbas
- Tejani Brothers (2012)
Abbas Ya Abbas (Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3 Hai laqab ghazi tera, tu hai akse murtazaBhaayi ho shabbri ka, aur Zainab ki ridaTu hai Zahra ki dua, aur alamdare wafa (Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x2 Jo pareshaa(n) haal hai, unke gham ko door karJo dua hai la-qabool, Rab se wo manzoor karMomino(n) ke har gunaah, rab se tu maghfoor kar (Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3 Kal mila tha ye alam, jaffar-e-tayyar koJang-e-khayber mei mila, haider-e-karrar koAur karbal mei mila, ghazi-e-jarrar ko (Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3 Har namaaze shab mei ye, thi ye Haider ki duaMere bte ke liye, ik sahara bhejnaEik ik insaa(n) mei se, tumko Allah ne chuna (Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3 Nang-e-sar darbaar jo, ayi bint-e-fatemahPuchta tha ye yazeed, kon hai ab aasra (hai kahaa(n) ghazi tera)Dekh ke bhaayi ka sar, roke zainab ne kaha (Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3 Kya tumhe hai ye khabar, mei hu haider ka pisarJaise baba sheyr the, hai mera waisa jigarBhaglo ab waqt hai, aaraha hai ye qamar (Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3 Ay adu sunlo zara, roko na rasta meraChahte ho tum agar, ab ajal ka raastaMaut se darta nahi, hu ali ka ayina (Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3 Bazuo(n) dono kate, haaye mashkiza chidaGurz sar pe jab laga, bawafa zee(n) se giraAs-salaam aqa mere, roke ghazi ne kaha (Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3 Ponch kar abbas ke, laash par sheh ne kahaTum to meri aas the, aur aankho(n) ka diyaRut na jawo abhi, aankhei(n) kholo phir zara (Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3 Hai alam abbas ka, har hussaini ka nishaa(n)Hai tejani muntazir, aur ye sara jahaa(n)Ke uthaaye khud alam, aake maula-e-zamaa(n) (Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3