Riwayat E Umme Salma
- Farhan (ALI WARIS) (2025)
Wo Madina, Wo Asar-e-Aashura
Qabr-e-Ahmad se lipti thi Sughra
Dil pareshan, udaas tha chehra
Band aankhen thi, ghash ka aalam tha
Khwab mein jaane aisa kya dekha
Uthi ghabra ke pahunchi ghar Sughra
Umme Salma se boli ro-ro kar:
“Maine dekha seene pe Baba ka sar
Dil mera baitha ja raha hai yahan
Yeh andhera kyun chha raha hai yahan?”
Wawaila… Wawaila...
Surkh ye aandhiyaan kyun chalti hain?
Kyun falak se lahu barasta hai?
---
“Nani jaan, aap ki ye khamoshi
Meri bechaini aur badhati hai
Is baraste hue lahu se mujhe
Mere Asghar ki khushboo aati hai
Dekho ye surkh aandhi kyun mujhko
Uska zakhmi gala dikhati hai?”
Umme Salma ne kaha tham ke dil:
“Sun Sughra…
Jisko tu lori sunati thi jhoola jhula
Itni shiddat se use teer la’een ne mara
Ruk gayi saans, khula reh gaya munh pyase ka
Marne walon ko jab sar na mila uska
Maar kar naiza nikalenge woh laasha uska…”
Wa Asghara… Wa Asghara…
---
Bolin Sughra:
“Na jaane kyun Nani, mere seene se dard uthta hai
Maine dekha ke naujawan koi
Khaak par ediyan ragadta hai
Mere Akbar ki khair ho
Woh jawan mere bhai jaisa dikhta hai…”
Umme Salma ne kaha:
“Woh tera bhai hi tha jo ab maara gaya
Woh tujhe lene nahi aayega ab ae Sughra
Uske seene mein la’een tod chuka hai naiza
Is liye dard tujhe seene mein mehsoos hua
Jab tere Baba ne khaincha tha woh naiza bahar
Aa gaya saath mein Akbar ka kaleja bahar…”
Wa Akbara… Wa Akbara…
---
“Inna Lillah…” parh ke woh boli:
“Mere Ammu to khair se hain na?
Unke hote hue mere Akbar
Aur Asghar ko kisne maar diya?
Unke bazu Khuda salamat rakhe
Roz karti hoon Nani main ye dua…”
Umme Salma ne kaha:
“Sughra, ab uske liye aur dua mat mango
Kat gaye haath woh dariya ke kinare dekho
Teer barsaye gaye, ghair ne mara usko
Kaise bin haath woh ghode se gira mat poochho
Gurz jab mara kisi ne woh sambhal na paya
Munh ke bal zain se Abbas zameen par aaya…”
Wa Abbasa… Wa Abbasa…
---
Haath aankhon pe rakha Sughra ne
Aur ghabra ke boli: “Ae Nani…
Dekhti hoon hamare khaimon mein
Le ke aaye hain Baba ek gathri
Usmein kya hai? Batayein aap mujhe
Kyun woh gathri hai khoon mein doobi?”
Umme Salma ne kaha:
“Sughra, us gathri mein Qasim ka tera laasha hai
Uska ghodon se la’eeno ne badan ronda hai
Khoon ki mehndi lagi, tukdon mein woh bikhra hai
Chun ke Baba tera khaimon mein abhi laya hai
Farwa us gathri ke ab charon taraf ghoomti hai
‘Mere bete ka sirhana hai kahan?’ dhoondhti hai…”
Wa Qasima… Wa Qasima…
---
Aah bhar kar ye poocha Sughra ne:
“Mere do bhai aur gaye the wahan
Aur ghabra raha hai dil mera
Jab se dekha hai maine Nani jaan
Do janazon pe ro rahe hain sab
Aur khamosh hain Phuphi Amma…”
Umme Salma ne kaha:
“Hain tere Aun-o-Muhammad ke woh laashe, Sughra
Unko bhi maar diya nehr kinare pyasa
Bhai par kar diya Zainab ne ye keh kar sadqa
Ye rahen na rahen, zinda rahe bhai mera
Mar gaye Aun-o-Muhammad ye kaha jab sab ne
Rona to door hai, dekha bhi nahi Zainab ne…”
Haye Aun-o-Muhammad…
---
Peet kar sar ye bolin phir Sughra:
“Ab to bas Baba reh gaye mere
Kya chhupati hain aap chadar mein?
Khushboo Baba ki aa rahi hai mujhe
Asr ka waqt ja chuka phir bhi
Surkh kyun hai ye aasman khoon se?”
Umme Salma ne kaha…
“Sughra mar jaogi…” ye keh ke hatayi chadar
Umme Salma ne jab ek shishi nikali bahar
Dekha jab Sughra ne us shishi mein khaak aur lahu
Boli uthhi: “Aati hai Baba ke lahu ki khushboo…”
Umme Salma ne kaha:
“Mara gaya Baba tera
Teeron, zarbon se sitamgar ne gala kaat diya…”
Haye Hussain… Haye Hussain…
---
Teer barsaye kisi ne, use naiza mara
Shimr ne khainch ke balon se tamacha mara
Is liye aandhiyaan chalti hain, suno ae meri jaan
Dasht mein khaak udaate hain Rasool Allah wahan
Sar-shikasta hain Ali bhi wahi par, Sughra
Aate hain zakhmi jigar le ke Hasan sabz qaba
Shimr sar kaatta tha baith ke jab seene par
Saath Zainab ke Sakina ne woh dekha manzar
Shab-e-Aashura se baithi thi tumhari Dadi
Saaf balon se woh karti thi zameen-e-maqtal ki
Shimr ne waar kiye, haath rakha Zahra ne
Dekha Zainab ne gira khaak pe jab sar kat ke
Shimr ke haathon mein ab sar hai tere Baba ka
Is liye khoon barasta hai falak se, Sughra
Bola Farhan Ali Waris se Zeeshan:
“Tadapta hai dil
Waqt tha Fatima Sughra pe woh kitna mushkil
Khoon jab Nani ne Baba ka dikhaya hoga
Apna ghar Sughra ko maqtal mein nazar aaya hoga…”