Mujhko Baba Ki Yaad Aa Rahi Hai

- Syed Naqi Raza ( Azlan ) Barabankvi (2025)



Baba Haye Baba ×2
Baba Haye Baba
Ro Ke Kehti Hai Maa Se, Sakina
Mujhko Baba Ki Yaad Aa Rahi Hai

Mera Baba Ghareebul Watan Hai ×2
Uska Laasha Pada Be Kafan Hai ×2
Dekhkar Phat Raha Hai Kaleja,
Mujhko Baba Ki Yaad Aa Rahi Hai.
Ro Ke Kehti Hai Maa Se Sakina,
Mujhko Baba Ki Yaad Aa Rahi Hai.

Le Gaye Sath Asghar Ko Baba ×2
Ho Gayi Hun Yahan Pe Main Tanha ×2
Meri Kismat Main Hai Qaidkhana,
Mujhko Baba Ki Yaad Aa Rahi Hai.
Ro Ke Kehti Hai Maa Se Sakina,
Mujhko Baba Ki Yaad Aa Rahi Hai.

Zulm Ummat Ne Mujh Pe Woh Toda ×2
Neend Ne Saath Ankhon Ka Chhoda ×2
Chut Gaya Mujhse Baba Ka Seena,
Mujhko Baba Ki Yaad Aa Rahi Hai.
Ro Ke Kehti Hai Maa Se Sakina,
Mujhko Baba Ki Yaad Aa Rahi Hai.

Naam Baba Ka Jo Lab Pe Aaya ×2
Phir Sitamgar Ne Durra Lagaya ×2
Khoon (Khun) Main Kurta Hai Mera Nahaya,
Mujhko Baba Ki Yaad Aa Rahi Hai.
Ro Ke Kehti Hai Maa Se Sakina,
Mujhko Baba Ki Yaad Aa Rahi Hai.

Yaad Aata Hai Mujhko Wo Manzar ×2
The Abhi Pusht-e-Khaima Pe Akbar ×2
Ab Toh Chhaya Hai Har Su Andhera,
Mujhko Baba Ki Yaad Aa Rahi Hai.
Ro Ke Kehti Hai Maa Se Sakina,
Mujhko Baba Ki Yaad Aa Rahi Hai.

(Saif) Abid Ne Turbat Banayi ×2
Ek Qayamat Thi Zindan Main Chhayi ×2
Phir Na Gunja Fiza Main Yeh Nauha,
Mujhko Baba Ki Yaad Aa Rahi Hai.