Hum ek hai Ya Hussain
- Meesum Abbas (2026)
bolo na
maula maula maula hussain - 2
saare jahaan mein hain mazhab do hi
ek yazeedi, ek hussaini
kaam nahin humein duniya se koi
humne to chun li raah tumhari
jo haq pe jeete marte hain
jo batil se takraate hain
jo dil mein tujhe basaate hain
hum unko gale lagaate hain - 3
jo bhi pukaare naam tumhara - 2
hum uske hai, woh hamara
hum ek hai ya hussain - 3
abbas ke parcham ke saaye mein
ek hai ya hussain
hum ek hai ya hussain
abbas ke ke parcham ke saaye mein
ek hai ya hussain
maula tu zindabaad rahega
saare jahaan ne hai maana
kaam hi aisa tune kiya hai
har dil hai tera deewana
tere liye ab haath utha kar
bolega saara zamaana
ho woh shia ya sunni bankar saare hussaini - 2
milke lagaayenge naara
hum zinda qaum hain humne bataya
jab bhi muharram aaya
ek alam ke saaye mein aaye
aur ittehaad dikhaya
yaad-e-hussain mein paani pilaaya
apna ho ya ho paraaya
kaale libaas waale hum hain abbas waale - 2
humko hussain hai pyara
hussain jab tu ek hai to teri kaum ho kaise juda juda
hai jo bhi tere chahne waale
unhein salaamat rakhe khuda
hum ek hai, hum ek hain
dil ek dhadkan ek hai
har dil ki sada hai
ya hussain ya hussain
seeno pe likha hai
ya hussain ya hussain
tera naam hai pyara
millat ka hai naara
tu hai maula hamara
ya hussain
abbas ke parcham ke saaye mein
ek hai ya hussain
ek khuda hai ek muhammad
ek kitaab hamari
ye teri mehnat ka sarmaya
ek hai ummat saari
ab saari qaume karti hai milkar
maula teri azaadaari
ghar ghar mein safe maatam ghar ghar pe tera alam - 2
ye bhi karam hai tumhara
jo bhi pukaare naam tumhara
hum uske hain, woh hamara
hum ek hai ya hussain - 3
halqae maatam mein jaakar hi dekhe hain humne nazaare
na koi rang na mazhabo millat farq mita diye saare
karb-o-bala se farsh-e-aza se milte hain humko ishaare
har aane waale hurr ko bas ye kehte hain hum to - 2
dil se hai dil ko sahaara
hum ek hai ya hussain - 3
tareekh mein likhi jaayengi safar-e-ishq ki baatein
har rang-o-nasl ke log khade hain sabki alag hain zabaanein
sab tujhse milne aate hain maula
teri taraf hain nigahein
chal kar dekhe zamaana najaf se karb-o-bala -2
ye keh raha hai har nazaara
hum ek hai ya hussain
abbas ke parcham ke saaye mein
ek hai ya hussain
hum ek hai ya hussain
jab zulm kahin par hota hai - 2
khamosh kahaan hum rehte hain
na darte hain na jhukte hain
humein log hussaini kehte hain
haq ki ladayi ho to humko jaan nahin pyari
kisne kaha hum ek nahin hain sun le ye duniya saari
chahe jahaan bhi rehte ho lekin yakja hai qaum hamari
duniya mein baat jab bhi hussainiat pe aayi - 2
hum jeete hain yazeed haara
hum ek hai ya hussain
jo bhi pukaare naam tumhara
hum uske hain woh hamara
hum ek hai ya hussain - 3
ishq kiya jaata hai kaise saare jahaan ko bataya
ashoor ki shab aapne maula jab woh charaagh bujhaya
jisne yahaan se jaana hai jaaye ansaar se farmaaya
koi gaya na uthkar kehne lage bahattar - 2
saath na chhodenge tumhara
hum ek hai ya hussain - 3
kaise uthaya laasha akbar dil phat raha hai hamara
dafn kiya asgar ka laasha maula ye dil tha tumhara
jab karbala mein koi rawaana maula tumhara sahaara
tumko gale laga ke rahwar pe bitha ke - 2
saniye zahra ne pukaara
hum ek hai ya hussain - 3
hum ek hai ya hussain
aey pyare nabi ke pyare hussain
zahra ki aankh ke taare hussain
tere chahne waale aaye hain
tere alam ke saaye saaye hussain
aur ashk baha kar kehte hain
ye mazharon zeeshano meesum
sada rahega hussain ka gham - 4