Betiyan To Sab Ko Pyari Hoti Hain

- Syed Raza Abbas Zaidi (2026)



Zindan-e-Shaam mein woh qayamat ka waqt tha
Saupa gaya Sakina (a.s.) ko jab sar Husain (a.s.) ka
Baba ke zakhmi chehre se khoon saaf jab kiya - 2
Baalon se khaak jhaad ke beti ne yeh kaha

Tum to kehte the Sakina (a.s.)
Tum bin mera dil nahin lagta
Phir kyun itni der ki aane mein tum ne Baba

Betiyan to sab ko pyari hoti hain na Baba - 2

Dekho mujko shaam ke logo ne kitna maara
Betiyan to sab ko pyari hoti hain na Baba - 2

Aap jab tak saath the Baba tab tak main shehzadi thi
Naaz uthate the sab mere, sab ki pyari beti thi
Haath Chacha rakhte the zameen par, ghar mein jab mai chalti thi
Mujh ko sahara dene sab uth jaate the jab girti thi
Lekin yeh masoom Sakina (a.s.)
Jab giri naaqe se Baba
Mujhe sahara kyun dene koi bhi na aaya

Pyare Ammu chhod gaye the, pani ko main tarsi thi
Bas yeh main hi jaanti hoon bazaar mein kaise chalti thi
Shimr tamanche marta tha jab bhi thak kar main rukti thi
Mujh ko yeh bhi yaad nahin tha ke main kab se pyasi thi
Apni betiyon ko yeh Shaami
La la kar dete the pani
Jab main pani maangti thi, khati thi kyun durra

Choom ke Baba ka zakhmi sar, beti boli aye Baba
Kuch din pehle qaid me mujh se milne aayi thi Ramla
Mere gauhar pehne thi, mujh ko us baat ka gham na tha
Main yeh soch ke rone lagi jab dekha Ramla ka chehra
Zalim ne darbar mein Baba
Mujhe kaneezi mein jab maanga
Us ke ghar mein bhi to ek beti hai, kyun na socha

Baba, aap ka qatil mere samne jab bhi aata tha
Aap ka jis pe khoon laga tha, woh khanjar lehrata tha
Baandh ke mujh ko rassi se, rehwaar woh jab daudata tha
Nok-e-sina se mere Chacha Abbas ka sar gir jata tha
Neze per us waqt aye Baba
Aap ko main ne rote dekha
Zalim ne jab raah mein baalon se mujh ko kheencha

Aag lagi thi daaman mein aur haath tha zakhmi kaanon par
Shaam-e-Ghareeban mein jab tum ko dhoondhne nikli main bahar
Baba main ne dekha tha apni aankhon se woh manzar
Dada ko awaaz Phuphi Zainab (a.s.) ne di jab ro ro kar
Beti ki awaaz pe haye
Dada Ali (a.s.) to milne aaye
Lekin mera haal kyun tum ne na aa kar poocha

Sar-e-Husain (a.s.) pukara Beti yaad karo na woh manzar
Baba Baba kehte hue jab girti thi tum laashon par
Main ne hi to paas bulaya tha Shehzadi yeh keh kar
So ja meri bachi, zakhmi seene pe tu sar rakh kar
Be-sar tha beti yeh Baba
Paas tumhare kaise aata
Tum ne jab awaaz de kar bola tha, aye Baba

Beti Baba se boli: ab chhod ke mujh ko mat jana
Kab tak hai meri qismat mein zalim ke durre khana
Tum Bhaiya Sajjad (a.s.) se keh do mujh ko yahin par dafnana
Baap se baatein karte karte aakhri hichki ka aana
Aye Zeeshan o Raza, ro ro kar
Baba ke munh pe munh rakh kar
Bali Sakina (a.s.) ne bas yeh kehte hue dam toda