Zainab Tera Zakhmi Baba

- Mir Hasan Mir (2021)



Hayee Ali,Hayee Ali, Hayee Ali, Hayee Ali

Fajar unisween ramzan ki tarpati hai

Fatima zehra ki jis waqt sadaa ati hai

Aa dekh le Zainab,tera zakhmi Baba,ghar loat ke ayaa hai

Kandho pe uthai,yun bete hain laaye,lagta hai janaza hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

Mushkil se safar yeh te hai Kiya,jaari hai lahoo ka darya

Masjid se ghar tak,har ik qadam per,beton ne sambhala hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

Halat hee ajab hai baba ki pehchanna mushkil hoga

Zehra ki garibi,yaad aye gi Bibi,tar khoon mai chehra hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

Jirah se hujre ke bahir jab haal hassan ne pucha

Wo ro ke pukara,mushkil hua jeena,yeh zakham hee aesa hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

Ab sham e gariban mai tum ko,yeh chehra nazar ayega

Ae sani e zehra,kuch roz ka mehman,ab ap ka baba hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

Yeh shana hila ker kehti hain Abbas jari ki madar

Bibi uth jao,ashkon ko chupao,Baba ne bulaya hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

Qadmon mai gir ke zainab ke,ghazi ki behan yeh boli

Baba ko bachalo,sadqe mujhe kardo,hazir yeh ruqaiyya hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

Ik Roz akaile aana hai,is shehar mai tujh ko Bibi

Kiya hoga najane,shehzadi abhi se,badla hua kufa hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

Shabbar ka jigar, Shabbir ka sar, Abbas jari ka bazoo

Katte dekhogi,ae baba ki piyari,yeh zakhm to pehla hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

Yeh keh ke taqallum beti se,khamosh hui the maula

Darbar ke dar per,mai aoga milne,zainab mera waada hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai