Abbas-e-alamdar
- Tejani Brothers (2005)
Abbas-e-alamdar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x4Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar, Tumsa to zamaane me nahi koyi wafadar,(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Hai naame wafa aaj talak tujse hi baakiRakhi jo sare aab hai bunyaad wafaa ki
Is baat se karsakta nahi koyi bhi inkaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Kha sakta nahi jhooti kassam koyi tumhaariHai ek siffat baab-e-hawaaij bhi tumhaari
Tu chahe to ruk jaaye abhi waqt ki raftaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Ik mashk bhari nehr se, ik mashk diya khoonJab mashk chidi behgaya sine se tera khoon
Zainab ne kahaa maara gaya mera madadgaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Dharas tha Sakina ki alamdar ka peykarJab tak raha zindaa na chini bibi ki chadar
Baad aap ke dakhil huwe khaymo(n) me sitamghar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Tum bazuwe shabbir ho haider ke pisar hoLashkar ke alamdar Sakina ka jigar ho
Jitey hai(n) tumhe(n) dekh ke bas sayyede abraar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Tum ruh-e-ali, jaan-e-hussain, ibn-e-ali hoTum ibne wali, ibne wali, ibne wali ho
Hai dushamne dee(n) ke liye bazu teri talwaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Paani pe alam tere siwaa kisne lagayaMashkize me darya ko tumhi ne hai uthaya
Tum lashkar-e-shabbir ke ho haider-e-karrar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Tum Fatema Zehra ki duwawo ka asar hoTum dhoop me Zainab ke liye misle shajar ho
Parcham ka pharayra hai tera aisa hawaadar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Haider ne namaazo me jo Allah se mangaKehte the khuda de mujhe Abbas sa beta
Wo jisko kahe sara arab Ghaziyo Jarrar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
"Rehan" kalam zikre alamdar karenga"Abbas" ke munkir ko jo talwaar lagenga
Wo mere madadgaar hai mai unka hu ghamkhwaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar, Tumsa to zamaane me nahi koyi wafadar,(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2