Dar e Zahra
- Meesum Abbas (2026)
<span font-size:14px"="">Jaise Jale Shabbir Ke Khaime Waise Dar e Zahra
Kyun Na Karein Phir Ahle Aza Har Majlis Mein Noha
Dar e Zahra Jalaya Ja Raha Hai
Ye Pehli Karbala Hai
Nabi Ka Dil Dukhaya Ja Raha Hai
1. Nabi Tazeem Mein Jiski Khade Hon
Laqab Allah Ne Jisko Diye Hon
Woh Jiski Betiyan Hon Shahzadi
Pisar Hasnain Se Jisko Mile Hon
Use Kitna Sataya Ja Raha Hai
Ye Pehli Karbala Hai
2. Nabi Ke Baad Ye Aaya Zamana
Museebat Mein Hai Zahra Ka Gharana
Koi Kehta Hai Darwaza Jala Do
Koi Dikhla Raha Hai Taziyana
Ye Jo Manzar Dikhaya Ja Raha Hai
Ye Pehli Karbala Hai
3. Sabhi Qasmein Sabhi Waade Bhula Ke
Ali Ko Ghar Mein Hi Qaidi Bana Ke
Sar e Darbar Zahra Ko Bula Ke
Pisar Ke Saamne Durre Laga Ke
Tamacha Bhi Lagaya Ja Raha Hai
Ye Pehli Karbala Hai
4. Jafakaron Ka Ye Sardar Bola
Ali Ko Ghar Se Bahar Lao Zahra
Agar Baiat Nahi Karte Hamari
Jala Denge Abhi Hum Ghar Tumhara
Sitam Zahra Pe Dhaya Ja Raha Hai
Ye Pehli Karbala Hai
5. Hirasaan Hain Haram Mahve Buka Hain
Pisar Bhi Maa Ke Gham Mein Mubtala Hain
Laeen Achhi Tarah Ye Jaante Hain
Ke Darwaze Ke Peechhe Sayyida Hain
Tabhi To Dar Giraya Ja Raha Hai
Ye Pehli Karbala Hai
6. Gira Jalta Hua Dar Pasliyon Par
Juda Maa Se Hua Mohsin Gule Tar
Shikasta Kar Diya Zahra Ka Pehlu
Kaha Zahra Ne Zakhmi Haath Utha Kar
Lahoo Mera Bahaya Ja Raha Hai
Ye Pehli Karbala Hai
7. Yahi Hai Mesum o Mazhar Ka Noha
Sitam Is Se Bada Kya Aur Hoga
Woh Bibi Paak Woh Umm e Abiha
Khuda Ne Jisko Siddiqa Kaha Tha
Use Jhoota Banaya Ja Raha Hai
Ye Pehli Karbala Hai