Dekhti Rahi Zainab s.a
- Mir Zaman Hussain (2025)
Hata Hata ke kafan dekhti rahi Zainab
Laho Mein doobi wo paishani baap ki Zainab
Utho ay baba utho tham kar janazy ko
Tarap ke behno ke sang chikhnay lagi Zainab
Ali ke khoon bharay sar ko tak ke do paara
Giri thi khaak pay sar peetti huyi Zainab
Mein ban ke Aayi thi shahzadi baba Kufay mein
Pehan ke rasiyan phir aayegi teri Zainab
Yateemi kya hai ghreebi hai naam kis shei ka
Ali Imam say ro ke hai poochti Zainab
Abhi to lutni hai chadar aaye baba Karbal main
Abhi to Shaam main pathar bhi khayegi Zainab
Pukarin Zahra s.a ke sanbhalo apnay Ghazi ko
Sanbhalnay ko tujhay Maan hai aagayi Zainab
Ali ko mar ke Kufay main bay khata Mohsin
Qaza say pehlay he umat nay maar dee Zainab