Amma mujhe sambhalo
- Tejani Brothers (2008)
Amma mujhe sambhalo
Hal Min Naasareen Yan Sur Naa(Amma Haye Amma) x4
(Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo) x2
Nazdeek aa raha hu(n), Wada nibharaha hu(n), Amma mujhe sambhalo(Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo) x2
Akbar nahi hai ghazi, darya pe sogaya haiRaah-e-khuda may sara, kunba ujjar gaya hai
Be aas hogaya hu(n)
Tanha may rehgaya hu(n)
Amma mujhe sambhaalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
Awaaz dasht may jab, hal min ki de raha thaAbbas-e-bawafa ka, lasha tarap raha tha
Maqtal may aa raha hu(n)
Tumko bula raha hu(n)
Amma mujhe sambhaalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
Duba huwa lahu may, ye dasht-e-Karbala haiChehre pe khoon-e-Asghar, mene yuhi(n) mala hai
Kis haal mei hai amma
Pyaasa ye laal tera
Amma mujhe sambhaalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
Zakhmo(n) se mera amma, tan chur hogaya haiLashe utha utha ke, dil gham se bhar gaya hai
Charo(n) taraf hai hamlaa
Talwar ki tabar ka
Amma mujhe sambhalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
Aankho(n) ke saamne hay, har bachpane ka manzarLori suna rahay the, zanu(n) pe tum sulaakar
Ab haal aake dekho
Godi may mujhko lelo
Amma mujhe sambhalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
Lut jayengi ridaaey(n), khayme bhi ab jalengePyaari meri Sakina, ke baliyaa(n) chinenge
Shaam-e-gharibaa(n) mei tab
Hogi sada-e-Zainab
Amma mujhe sambhaalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
Amma badan ye sara, teero(n) se ab bhara haiGhore pe na zamee(n) par, lasha mera para hai
Ab shimr ki churi hay
Gardan pe chal rahi hay
Amma mujhe sambhaalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
Sajde mei mera sar hai, talwaar chal rahi hayKhayme ke dar pe Zainab, bechain ho rahi hay
Tuttegi ab qayamat
Nazdeek hay shahadat
Amma mujhe sambhaalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
kaise likhe "Tejani", purdard ka wo manzarjab shimr ne chalaya, ibne ali pe khanjar
awaaz thi fiza may,
haaye dasht-e-karbala may
amma mujhe sambhalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
(Amma mujhe sambhalo) x4
Ya ayyatuhan-nafsul mutma'innah, irji'ee ilaa rabbika raadiyatam-mardiyyah