Mera Akbar Jawaan Mar Gaya
- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2026)
Mera Akbar Jawaan Margaya
Raas Aai Na Karbobala
1) Jab suna run mein ghode se Akbar gire
Thokare run me Khaate huwe sheh chale
Khaak aur Khoon me hai woh ghaltan pade
Haal dekha pisar ka toh kehne lage
Raas Aai na Karbobala
Mera Akbar _ _ _ _ _
2) Dekhe Zakhmi jigar ko Shah-e-Karbala
Usme barchi ka phal jo nazar aagaya
Hai tasawur me Nana Rasul-e-Khuda
Jaise unki jawani ko neiza laga
Raas Aai na Karbobala
Mera Akbar _ _ _ _ _ _
3) Haal Sughra ka baba dikha dijiye
Mujhko deedar-e-Sughra kara dijiye
Ayk bhai behan ko mila dijiye
Mere Zakhmi jigar ko chhupa dijiye
Raas Aai na Karbobala
Mera Akbar _ _ _ _ _ _
4) Dali Akbar ne sue Madina nazar
Ek zayeefa hai baba wo hai bey khabar
Uss pe teri judaai ka hai yeh asar
Wo zayeefa hai Sughra teri muntazir.
Raas aai na Karbobala
Mera Akbar _ _ _ _ _
5) Teri furkhat me ye haal e Sughra huwa
Jhuk gayi hai kamar, haath me hai asa
Sochti hai mera bhai kab aayega
Jeete ji kya behan se woo mil payega.
Raas aai na Karbobala
Mera Akbar _____
6) Bole Sheh Kaise Sughra sune yeh khabar
Muntazir raah me hai bichae nazar
Ho gaya ran mein bhai ka zakhmi jigar
Marna jaye kahi sunke noor-e-nazar
Raas Aai na Karbobala
Mera Akbar
7) Muntazir hai mere bhai saanse meri
Dekh le aake dekhna ki tu bekasi
Aisa lagta hai lamho ki hai zindagi
Phir na kehna ke Sughra meri chalbasi
Raas aai na Karbobala
Mera Akbar _ _ _ _
8) Teri shaadi ka Armaan Sughra ko tha
Uske lab par hai shaam-o-seher ye dua
Mere bhai se mujhko mila de Khuda
Wo nahi jaanti hai ke neiza laga
Raas aai na Karbobala
Mera Akbar _ _ _ _
9) Sar pe sehra ho aana meri khabr par
Apni dulhan ko lana meri khabr par
Ek chadar chadana meri khabr par
Mera nauha sunana meri khabr par
Raas Aai na Karbobala
Mera Akbar _ _ _ _
10) Pad ke tahreer roye Shah-e-Karbala
Nama Sughra ka ashko se tar hogaya
Bole qasid se ja ke suna waqiya
Teer Asghar ko, Akbar ko neiza laga
Raas Aai na Karbobala
Mera Akbar _ _ _ _
11) Rokle apna Shoukat qalam rok le
Ashk ban kar siyahi ke khatre kahe
Bibi Sughra ke jo bayn tune likhe
Chashme Insaa se ashko ke dariya bahe
Raas aai na Karbobala
Mera Akbar _ _ _ _