Hussain mujko muaf karna

- Shuja rizvi (2014)


Hussain mujko maaf karna - 2

Ajab tha akbar ki laash per bhi jo maine apni duaayen mangi
Barehna binte nabi ke sar se jo betiyon ki ridayen maangi
Tadapte asgar ko dekh kar bhi nawaso poto ki khair maangi
Shikasta kasim ke tukde dekhe aur humnawao ki khair maangi
Makame zainab se khaimagah tak kyu meri ankhen khuli hui thi
Tadapte lasho ko dekhkar bhi duaaon per kyu tuli hui thi
Mai tere zakhmi badan se hatkar kyu apni socho me gum khada tha
Jaha pe qunba kabila sara zameen pe bikhra hua pada tha
Mai ganje shohda ki bikhri laasho pe apne hosho hawas me tha
Mai thanda paani bhi pi raha tha jaha pe asgar bhi pyaas me tha
Jaha pe qaatil ne nanhi dukhtar k muh pe itne tamache maare
Jalaye khaime lagaye durre tadapti bacchi ke dur utare
Jaha pe asgar ke khun ko tu jabeene aqdas pe mal raha tha
Jaha pe gaazi ke hath lekar tu dushmano me bhi chup khada tha
Jaha pe teri ye rishi aqdas lahu me asgar ke tarbatar thi
Jaha pe akbar tadap raha tha tamam aankhon ki roshni thi
Tamam maqtal ki un jaghon per giza ki har dam talaash me tha
Duaaon me tha mai rizqo rozi ki aur fiqre moaash me tha
Mai apne chehre ki zebo zeenat me intehaayi magan raha tha
Shikasta laasho ke darmayan bhi mai narm bistar pe khush pada tha
Mai ek rasmi salaam karke kyu teri turbat se hat gaya tha
Mai faasle se basate jaate hi tere rauze pe jhuk raha tha 
Aur dareeda dehni ki intehaa thi mai achha khaano pe lad raha tha
Kaha ke aasu kaha ka girya mai is taraddud me kab pada tha
Waha se aakar mai har jagah per fazael apne suna raha tha
Aur sataayishe bahami me uljaa mai daad behad hi paa raha tha
Ye meri aahe ye mera girya banaame zehra qubool karle
Nidamato ke ye chand aasu bataure hadiya qubool karle
Mai tera mujrim hu mere maalik tu mujko patthar se durr banade
Aye karbala ke qadeem kadir tu mujko assi se hur banade
Mai apne qaem ki khayr maangu
Mai apni har ek dua se pehle
Hussain - 3 hussain mujko muaf karna
Mai zinda aaya hu karbala se