Abbas ka parcham
- Shaheed Sibte Jafar (2012)
Kare fauje khuda abbas ka parcham
Shuja’aane arab ka silsila abbas ka parcham
Waqare az mohammad hausla abbas ka parcham
Sikhata hai ita’at aur wafa abbas ka parcham
Siyahi deene haq ke aur aayate ilaahi hai
shabeehe zuljana ho taziya abbas ka parcham
Wo kya nemat hai jo iske tasadduk hum nahi paate
bataye kya tumhe deta hai kya abbas ka parcham
Mohafiz hai do aalam me azadarane sarwar ke
Reza e haq duae sayyada abbas ka parcham
Hai hamza jafar o haider ki yaadein isse wabasta
inhi hazraat ki meeraas tha abbas ka parcham
Lewail hamd ke manind misle daware zehra
khuda ka qurb karta hai ata abbas ka parcham
Jahane rang o bu me qabr me barzakh me mehshar me
sahara hai hamara aapka abbas ka parcham
Mera dawa hai tumse mushkile khud bachke niklegi
tasawwur me rakho subho masaa abbas ka parcham
Chhuda lete hai humko sibte jafar har musibat se
dua khake shifa farshe azaa abbas ka parcham
Yehi tha dashte ghurbat me, anise zainab o sarwar
sakina aur haram ka aasra abbas ka parcham
Rahegi chadare sar par bujhegi pyaas baccho ki
dilasa subh tak deta raha abbas ka parcham
Qamar tuti Husain ibne ali ki aas bacho ki
qareebe asr jab thanda hua abbas ka parcham
Lagae ab bhi seene se hai mashkeeza sakina ka
bohot ghamgee hai baade karbala abbas ka parcham
Majalis me julooso me azakhano me zindaa me
Sakina ko hai ab bhi dhundhta abbas ka parcham