Aise Waiso se pyaar mat keejo

- Shaheed Sibte Jafar (2012)


Aise waiso se pyaar mat keejo..(2)
Ye khata baar baar mat keejo..(2)

Chhod deta hai saath mushkil me..(2)
Shaikh par inhesaar mat keejo..(2)

Hai nuseri bhi dushmane haider..(2)
Dosto me shumaar mat keejo..(2)

Jaan atki hai teri duniya me..(2)
Jaan par jaanesaar mat keejo..(2)

Gar hai ya laytani ka dawedaar..(2)
Waqt e nusrat faraar mat keejo..(2)

Jab pukare tujhe imaam e zamaa..(2)
Sar ko gardan pa baar mat keejo..(2)

Ho jo maqrooz aale at’har ke..(2)
Unse bilkul udhaar mat keejo..(2)

Ae muqassil ali ka behre madad..(2)
Qabr me intezaar mat keejo..(2)

Jisse naaraaz ho ali o batool..(2)
Wo rawish ikhteyaar mat keejo..(2)

Tang seene pa hai jo matam ke..(2)
Fisq se daaghdaar mat keejo..(2)

Mai hu mohtaaj ghair ka tere..(2)
Aisa parwardigaar mat keejo..(2)

Jo saza ho lahad me de lijo..(2)
Hashr me sharmsaar mat keejo..(2)

Wo jo bhaage ohod se ab unka..(2)
Ae habeeb aitbaar mat keejo..(2)

Juz ali baab e fath e khaibar me..(2)
Ghair ka intezaar mat keejo..(2)

Abre aayat kisi munafiq se..(2)
Sahibe zulfiqaar mat keejo..(2)

Majlise mehfile hai aine ishq..(2)
Ishq ko kaarobaar mat keejo..(2)

Sibte jafar hai tere darr ka gada..(2)
Dar bardar isko khaar mat keejo..(2)

Ye Mehfil hai ehle tawalla ki mehfil, yaha sirf hogi mohabbat ki baatein
Nafee ghair ki hai mohabbat ka hissa, na samjhe ise koi nafrat ki baatein

Siwae nabi aur aale nabi ke, kiya kisne kab hai shifa’at ka waada
jise haqne baksha hai haqqe shifa’at, wohi to karega shifa’at ki baatein

Yahi to madare wujudo adam hai, yahi malike salsabeelo iram hai
Jise hai nabi o ali se mohabbat, use zeb deti hai jannat ki baatein

Ba kaaba wiladat, ba masjid shahadat, nabi se mawakha to Zahra se nisbat
ali ke hai ye imteyazi fazael, abas hai kisi se fazeelat ki baatein

Badha shehr se kaun sakta hai darr ko, mohammad madina ali baab uska
Ilaqa nahi ilm o hiqmat se jinko, wahi kar rahe jihalat ki baatein

Padi thi jo saccho ki haq ko zarurat, faqad panjetan kaam aaye the haq ke
Tumhara na siddiqo siddiqa koi, to karte ho kyu tum sadaqat ki baatein

Hunain o ohod ho ya khandak ya khaibar, tike hi nahi jo kisi maareke me
lade hi nahi jo kabhi haq ki khatir, na kar unki farzi shaja’at ki baatein

Ghaneemat ki mat maar kar jo ghani bangae the, tahi dast khaibar se pehle
na dilwa sake haqqe zehra jo unse, to karte ho tum kyu sakhawat ki baatein

Nabi jiske maula, ali uske maula, ye chhota sa ek mas’ala tum na samjhe
tumhari samajh me jo maula na aaye, to kyu kar rahe ho wilayat ki baatein

Na ajre risalat adaa kar rahe ho, na haqqe mawaddat adaa kar rahe ho
amal to tumhara hai ghairo ke jaisa, yuhi kar rahe ho bara’at ki baatein

Jamal neherwaan aur siffin o qatle abuzar saqeefa fidak aur khaibar
ali ki sharafat ki baatein hai inme, to ghairo ke sharr aur aafat ki baatein

Khuda ke nahi waledain o aizza, na aulad o zauja na roti na kapda
nusairi ko samjhaiye sibte jafar, wo kyu kar raha hai himaqat ki baatein