Zindaan mei Sakina (SA)

- Fatema Ladak (2010)


ZINDAN ME SAKINA

 

ZINDAA MEI SAKINA PE QIYAMAT KI GHARI HAI

HAR SAAS MEI MARNE KI DUA MANG RAHI HAI

 

AAGOSH MEI SAJJAD KI ROTI HAI WOH BACHI

DARWAZA-E-ZINDAAN PE BETHI HAI WOH BACHI

AZAD PARINDO KI TARAF DEKH RAHI HAI

 

MAI KAB SE SADA DETI HUN AATEH NAHI BABA

AAWAZ BHI BETI KO SUNATE NAHI BABA

KYA AAP KI BETI SE KHATA AISI HUI HAI

 

ZINDAAN KE ANDHERO MEI BHALA KAISE RAHE GI

KYA KHAQ KE BISTAR PE WOH AARAM KARE GI

JO CHAR BARAS BAAP KE SINE PE PALI HAI

 

KIS TARAH BULAAEH KOI ABAAS SE KEHE DE

AAWAZ NIKALTI NAHI BACHI KE GALE SE

MAASOOM KI GARDAN MEI RASAN EHSE BANDHI HAI

 

KEHTI HAI WOH ZAINAB SE PHUPHI PAAS TO AAOU

PAR KAR MERE HATHO KI LAKIRO KO BATAO

KYA MERE MUQADDAR MEI RIHAI BHI LIKHI HAI

 

PANI KA KHAYAL AATE HI AJATE HAI AANSU

YAAD AATE HAI MAASOOM KO ABAAS KE BAAZU

DAAMAN KI TARAH AAG KALEJE MEI LAGI HAI

 

YAAD ATI HAY SUGHRA KI TO KEHTI HAY WO ROKAY

BAZAAR SE DARBAAR SE DURRO SE SITAM SE

HAI SHUKAR KHUDA KA KOI BIBI TO BACHI HAI

 

SOCHO TO ZARA MIR TAKALLUM WOH GARIBI

HAYE JO IMAAMAT KE UJAALO MEI PALI THI

TURBAT USSI BACHI KI ANDHERE MEI BANI HAI