Mei karbala mei hu

- Fatema Ladak (2011)


Mei karbal mei hu(n)

Kahtay Hai(n) yeh Imam-e-Zama(n) Karbala mai(n) hou(n)
Ghurbat ka daikhta hou(n) Sama(n)-Karbala mai(n) hou(n)

Woh hai(n) uthaye laash-e-pisar daikhta hou(n) mai(n)
Daikha nahi(n) hay jata magar daikhta hou(n) mai(n)
Parady mai(n) ghaib kay hou(n) nihaa(n)-Karbala mai(n) hou(n)

Rehta hay mairay samnay maqtal ka aiena
Mehsoos dard hota hay Akbar kay zaghm ka
Chubhtee hay aik nook-e-sina(n)-Karbala mai(n) hou(n)

Majmay say guzray itrat-e-athaar kis tarah
Rotay hai(n) ab bhee Abid-e-Beemaar kis tarah
Kaisay karoo(n) mai(n) dukh woh baya(n)-Karbala mai(n) hou(n)

Zinda zameen par mai(n) paeay Intiqaam hou(n)

Mai(n) waris-e-Hussian Alaieh-is-Salaam hou(n)
Hay samnay Hussain kee Maa(n)-Karbala mai(n) hou(n)

Bachee tamnchay khatee hay zalim say bay sabab
Panee nahi(n) hay peetee agarchay hay tashna lab
Asghar mera gaya hay kahaa(n)-Karbala mai(n) hou(n)

Kya Jannat-ul-Baqeee- eka hay haal Haeay Haeay
Dadee kee qabr ho gaiee pamaal Haeay Haeay
Ik karbala bapa hai(n) yahaa(n)- Karbala mai(n) hou(n)

 

Kahatay hai(n) Sach QAMAR ke yeh din hai(n) malaal kay

Akbar kee lash laya hou(n) barchee nikaal kay
Kaandhay pa hay yeh lash-e-Jawaa(n)-Karbala mai(n) hou(n)