Meri jaan Ali Akbar (AS)
- Fatema Ladak (2011)
Meri jaan Ali akbar
Zainab ne keha khaime ki chaddar ko utah kar
Meri jaan ali akbar meri jaan ali akbarx2
Paala hai tuje maine balaon se bacha kar meri jaan ali x2
Nazukh hai badan dasht hai tapta huwa sehra
Zainab ko deraa tha hai ye gurbat ka andhera
Pauongi sukun kaise bataa tujse bichar kar
Meri jaan ali akbarx2
Chalne se tere chalti hai beta meri saanse
Dhundegi tuje dasht mei ab meri nigahe
Ahista chalo jaane akhi jaane payambar
Meri jaan ali akbar x2
Eh tishna dahan ay mere nanaa ki nishani
Lutenge adou dasht mei ab teri jawani
Jaate ho tho jaon mujhe awaaz sunaa kar
Meri jaan ali akbar x2
Ab dilko kahan taab ke betaab hai darkan
Kuch pal mei ujar jayega umeed ka angaan
Behtho toh zara der mere samne akbar
Meri jaan ali akbar x2
Ajaa tera chera mei nigaho mei basaalu
Ulja huwa sehra tere maathe pe saja du
Dulhan mei banaou tuje dastaar pehna kar
Meri jaan ali akbar x2
Kuch pal mei ujar jaayega zehra ka bhara ghar
Khayaam jalange meri chin jayegi chaddar
Chin jayegi masum sakina ke bhi gohar
Meri jaan ali akbar x2
Yeh soch ke marjati hu jab koi na hoga
Aghyaar ke majme mei sedaa kon sunega
Darbaar mei jaungi mei bazaar se hokar
Meri jaan ali akbar x2
Zainab ka tha noha ye beyabaane kezaa mei
Quran bikhar jayega ab dashte belaa mei
Rehjaungi tanha nahi hoga koi yawar