Sajjad (AS) lahu

- Fatema Ladak (2011)


Sajjad lahu rota hi raha

 

Bazaar mei jaane kya dekha sajad lahu rota hi reha

Ghar lotke baad-e karbobala sajad lahu rota hi reha

 

Naamuse nabi thi bechaader, zainab pe baraste the patthar,tha ussi nazar mei wo manzar,chaleas baras tak har lamha, sajad lahu rota hi reha.

 

Baba ka outha ke gowd mei sar,moo rakh diya bachi ne moo per,khamosh huwi shehki dukhtar,yaad aayi sakina ki jo kezaa,sajad lahu rota hi reha

 

Kistarha bhulaaye wo lamhe,untho se musalsal girthethe maao ki gowdoh se bacche,murr murr ke dekh ke har laasha,sajad lahu rota hi reha

 

Zainab ki aseeri yaad aayi,behno ki gharibi yaad aayi,fizza ki dhileri yaad aayi,darbaar ka jab bhi zikr huwa,sajad lahu rota hi reha