Bazaar pe bazaar

- Fatema Ladak (2011)


Bazaar pe bazaar

Bazaar pe bazaar guzarte rahe qaidi
har mor pe jiteh rahe marte rahe qaidi

rassi ne unne ek banaa rakha tha lekin
tashheer ki zarbat se bikharte rahe Qaidi

zakhmo mei badal deti thi payro ke jo chaaleh
marham bhi ussi khaak ko karte rahe qaidi

paani toh mayessar na tha bus ashk teh jinko
abbas ke mashkize mei bharte rahe qaidi

girna isseh kehte hai ke eh logo utar na
chalte huwe naako se utarte rahe qaidi

miljaayena iss waqt koi jaan ne waala
bazaar mei iss baat se darte rahe qaidi

Islam ko chalne mei na dushwari ho Akbar
Khaaro pe kadam isliye dharte rahe qaidi